Text Widget

Friday 16 September 2016

SHIRK KA MUKAMMAL BAYAN (DEFFINATION OF SHIRK)








0

SHIRK KA MUKAMMAL BAYAN (DEFFINATION OF SHIRK)


SHIRK  ( شِرک ) 





Jaise ke aap waqif ho ki MGM yani MEHFIL E GULAM E MUSTAFA un maamlat per sereis tayar karti hai jo kisi bhi sateh per ISLAM ya MASLAK E HAQ Ke liye khatarnak sabit ho rahe ho. AAP SHIRK KA MUKAMMAL BAYAN (DEFFINATION OF SHIRK)hamare andaz se bhi waqif hai. Ki hamara kaam samjhana hamara maqsaad haq ko wazeh karna aur hamara target ikhtalaf ko khatam karna hota hai. 

Isi zarorat ke pesh nazar " SHIRK " ke masle ki wazahat waqt ki zarorat maalom padhti hai. Kiyo ki is ko na samjhne wale dusro ko " MUSHRIK " keh kar apas main fitna w fasad kar ke ummat e muslima ko taqseem kar diye hai aur ek dusre ko qatal tak karne lage hai. 

In Sha Allah aap ko daily part wise is subject per daily asan aur aam zaban main hum hamara MAZHAB E HAQ pesh karne ki koshis karenge. 

ALLAH TABARAK W TAA'LA se dua'gu  hai ki us ke RASOOL NABI KAREEM SALLALLAH ke sadqe w tufail hum ko sahi se is mauzu per haq bolne haq samjhane ki taufeeq ata farmaye. 

Aameen sum Aameen. 





Shirk ki behes batane se pehle yeh jaan lena bohat zarori hai ki TAUHEED kise kehte hai aur SHIRK kise kehte hai. 
Ache se zehen nasheen kar le. 


Tauheed kiya hai ? 





Tauheed ka Matlab hai " ALLAH ko zaat w sifaat main wahid ( Ek ) janna sirf aur sirf USI ko ibadat ke laayeq manna "


Ab SHIRK ki taarif Mulahiza farmaye. 





Kisi ko sharik tehrane se muraad yeh hai ki MAJOOSIYO ki tarha kisi ko ilaa aur wajib ul wajood samjha jaye. 
       
       Ya but parastoo ( Murtiyo ko poojne wale ) ki tarha kisi ko IBADAT ke laayek ibadat samjha jaye ya maana jaye. 

( شرح عقاعد نسفی ازامام تفتازانی علیہ الرحمہ ) 

Is taarif ko yaad kar lijiye. IMAAN ka maamla hai. 


Quraan E kareem main "SHIRK" ke muzzammat ( RAD ) main kayi aayate karema Nazil huwi. 

 ☀️ إِنَّ ٱلشِّرْكَ لَظُلْمٌ عَظِيمٌ 

  بیشک شرک بڑا ظلم ہے

बे शक शीरक बड़ा ज़ुल्म हैं. 

Be Shaq SHIRK bada zulm hai. 

indeed ascribing partners to Him is a tremendous injustice.'

📖 31 Sureh Luqman : ayat no 13. 


  ☀️ وَمَن يُشْرِكْ بِاللَّهِ فَقَدِ افْتَرَىٰ إِثْمًا عَظِيمًا 

 اور جس نے خدا کا شریک ٹھرایا اُس نے بڑے گناہ کا طوفان باندھا 

और जिस ने खुदा का शरीक ठहराया उस ने बड़ा गुनाह का तूफ़ान बांधा

Aur jis ne KHUDA ka sharik theraya us ne bada gunah ka toofan bandha. 

and whoever ascribes partners to Allah has invented a tremendous sin.

📖 SUREH AL-NISA - ayat no 48. 

☀️ وَمَن يُشْرِكْ بِاللَّهِ فَقَدْ ضَلَّ ضَلَالًا بَعِيدًا 

جو اللہ کا شریک ٹھہرائے وہ دور کی گمراہی میں پڑا،

जो अल्लाह का शरीक ठहरआये वो दूर कि गुमरहि मैं पढ़ा

Jo ALLAH ka sharik tehraye woh dur ki gumrahi main padha. 

whoever ascribes partners with Allah has indeed wandered far astray.

📖 31 Sureh Luqman : ayat no 116. 

💥 Zara souchiye kitna sakht Hukum hai. 

✳️ QURAAN E KAREEM ki aise sakht muzzammat ( Rad ) ko jab kisi musalman ke samne padha jaye tu fitri ( Naturaly ) taur per us ke andar khauf paida hoga. 

✳️ Yeh wohi maukaa hota hai. Ki jab kisi ko gumrah kar dena aasan ho jata hai.Jab "SHIRK" se dar lage lekin DEEN ka ILM na ho tu anjaam kiya hoga ?

✳️ Us ke samne kisi bhi kaam ko " SHIRK " keh diya jaye tu woh KHAUF E KHUDA se woh nek w jayez amal ko tark kar dega. Agar us ke samne koi munafiq kisi JAYEZ kaam ko bhi " SHIRK " keh de tu be ilm darne walo ko woh jayez balki SAWAB ka kaam bhi kufr nazar aane lagta hai.


Ab is Subject ko Samjhne ke liye zara gaur se SHIRK kitni kismo ka hota hai yeh Samjhna behad zarori hai. Aaiye hum aap ko tafseel se samjhate hai. 

① SHIRK FI ZAAT. شِرک فی الذات


Misal ke taur per MAJOOSIYO ka 2 Khuda ko manna. ALHAMDULLILLAH jahil se jahil musalman bhi kisi aur ko khuda nahi manta yeh maamla khatam huwa ! 

② SHIRK FI IBAAD. شِرک فی العبادۃ


Misal ke taur per hanood ka butto ( MURTIYO ) ki ibadat karna. ALHAMDULLILLAH jahil se jahil musalman bhi ALLAH ke siwa kisi aur ki taazim ibadat ki niyat se nahi karta lihaza yeh maaml'a bhi khatam huwa. 

③ SHIRK FI SIFAAT شرک فی الصفات


Yeh woh kism hai jis ko na samjhne wala na sirf khud Gumrah ho jata hai balki shaitan maloo'n us ko aisa jakadta hai ki us ko apne siwa tamam duniya mushrik nazar aane lagti hai. Aaiye is maamle ko aur tafseel se samjhate hai. 

Shirk fi sifat ka matlab hai  " KISI KO SIFAAT MAIN ALLAH JAISA ( BARABER ) MANNA "

Ab samjhiye jab tak NIYAT yeh na ho ki hum kisi bhi sifat ko ALLAH TAA'LA jaisa maan rahe hai shirk na hoga.

Yaani Ek jaise lafz ALLAH aur Ger ALLAH ke liye istemal karne se SHIRK nahi hota SHIRK niyat ko kharab hone se hota hai. 

Hum is ki misaale IN SHA ALLAH quraan E kareem se hi pesh karenge. Taki kisi ko aitraz ka hosla hi na ho. 

Aap sabhi se ek ajizaba request w ilteja hai. Next part main jo bhi hawala w refrence diye jayenge woh aap apne taur per cheak kijiye.yaad kare apne iman ki hifazat kare ulta aur mazboot kare. 

Imam Ishq e Mohabbat ne kiya khoob farmaya hai. 

Soona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai. 

Sone Wale Jaagte Rahiyo Choron ki Rakhwali Hai.

Aaiye ab AAGE ki baat ab QURAA'N e paak ke aayate kareema se hi mulahiza farmaye .  



☀️ اللَّهُ يَتَوَفَّى الْأَنفُسَ حِينَ مَوْتِهَا 

اللہ جانوں کو وفات دیتا ہے 

अल्लाह जानो को मौत देता हैं। 

It is Allah Who gives death. 

Sureh Al-Zumar Ayat No 42 Para 23. 

QURAA'N E MAJEED FURQAAN HAMEED main hi dusri AYATE kareema hai. 

☀️ قُلْ يَتَوَفَّاكُم مَّلَكُ الْمَوْتِ الَّذِي وُكِّلَ بِكُمْ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّكُمْ تُرْجَعُونَ

تم فرماؤ تمہیں وفات دیتا ہے موت کا فرشتہ جو تم پر مقرر ہے پھر اپنے رب کی طرف واپس جاؤ گے

तुम फ़रमाओ तुम्हें वफ़ात देता है मौत का फ़रिश्ता जो तुम पर मुक़र्रर हैं फिर अपने रब की तरफ़ वापिस जाओगे। 

Proclaim, 'The angel of death, who is appointed over you, causes you to die and then towards your Lord you will return.'

Sureh Al-Sajda Ayat no 11. Para 21. 


KIS NE KAHA ? QURAAN NE !!! 

EK HI LAFZ ALLAH KE LIYE ?

WOHI LAFZ GER ALLAH KE LIYE !!!

Agar ALLAH ke liye istemal hone wala lafz GER ALLAH ke liye istemal karna har surat main KUFR ya SHIRK hota tu kiya QURAA'N Main Aata ?

QURAA'N MAJID FURQAAN E HAMEED IMAAN ki raahe batata hai. Na ki SHIRK ki aur QURAA'N main ALLAH aur GER ALLAH ke liye ek jaise alfaaz kaafi istemal huwe hai.

QURAA'N E KAREEM main hai 

ذَٰلِكَ بِأَنَّ ٱللَّهَ مَوْلَى ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ وَأَنَّ ٱلْكَٰفِرِينَ لَا مَوْلَىٰ لَهُمْ

یہ اس لیے کہ مسلمانوں کا مولیٰ اللہ ہے اور کافروں کا کوئی مولیٰ نہیں،

यह इस लिए की मुसलमानो का मौला अल्लाह है और काफ़िरों का कोई मौला नहीं। 

This is because Allah is the Supporter of the believers, whereas the disbelievers do not have any supporter.

Sureh Al-Mohammad Ayat No :- 11. 

Is ayate kareema ka matlab yeh hota hai "MUSALMANO KA MADADGAR ALLAH HAI"

QURAAN E KAREEM hi main IRSHAD hai ki 


ِ فَإِنَّ ٱللَّهَ هُوَ مَوْلَىٰهُ وَجِبْرِيلُ وَصَٰلِحُ ٱلْمُؤْمِنِينَ ۖ وَٱلْمَلَٰٓئِكَةُ بَعْدَ ذَٰلِكَ ظَهِيرٌ

 بیشک اللہ ان کا مددگار ہے اور جبریل اور نیک ایمان والے، اور اس کے بعد فرشتے مدد پر ہیں،

बेशक अल्लाह उनका मददगार है और जीबरअईल और नेक ईमान वाले और उस के बाद फ़रिश्ते मदद पर है। 

indeed Allah is his Supporter, and Jibreel and the virtuous believers are also his aides; and in addition the angels are also his aides. (Allah has created several supporters for the believers.)

Sureh Al-Tehrim Ayat no :- 4


ALLAH bhi madad gaar - JABREIL ALEHE SALAM BHI MADAGAR - NEK MOMEENIEN ( Aulia E Karam ) bhi Madadgar !!!!

Sab ke liye ek hi lafz. 

Bayan farmaya Quraan Ne ! Quraan Kiya hai ? ALLAH TABARAK TAAL'A ka paak kalam ALLAH ne apne liye Aur Ger ke liye Ek hi lafz irshad farmaya. 

KIYA SHIRK KE FATWE LAGANE WALE Hi SIRF TAUHEED KE DAWEEDAR HOGAYE ? 

AAP NE AB TAK 2 MISALE PADHI 

ALLAH MAUT DETA HAI. HADRAT AZRAAIEL ALEHE SALAM BHI MAUT DETE HAI. 

ALLAH MADAD GAAR HAI. HADRAT JIBAREIL ALEHE SALAM AUR MOMEENIEN BHI MADADGAR HAI 

BAZAHIR EK JAISA LAGTA HAI. LEKIN YAHA FARQ HAI WOH FARQ JO NAFAQ SE BHARE DILO KO DIKHAYI NAHI DETA. 

TAUHEED W SHIRK KA FARQ. 
IMAAN W KUFR KA FARQ. 
ZAATI W ATTAYI KA FARQ 
MUSTAQEEL W GER MUSTAQEEL KA FARQ. 
MEHDOOD AUR LA MEHDOOD KA FARQ.

ALLAH ki Sifat W Khasoosiyat samjh le aur yaad kar le. 

ZAATI :- yani ALLAH apni sifat ka khud Maalik w Mukhtar hai. Yeh Sifat ALLAH ko kisi aur ki nahi hai. 

QADEEM :- ALLAH ki Sifat hamesha se hai. Aisa nahi hai ki koi sifat kabhi nahi thi aur baad main hasil ki. 

MUSTAQEEL :- ALLAH ki sifat Mustaqel hai yani is main koi tabdili ya kami ya peshi nahi hamesha ke liye hai. 

LA MEHDOOD :- ALLAH ki sifat ki koi Had nahi koi kinara nahi koi inteha nahi. 

Aage hum Makhook ki sifat ki khasosiyat pesh karenge is ke baad khud b khud samjh aane lage ga SHIRK kiya hota hai aur IMAAN kiya hota hai. 

Abhi aap ne ALLAH RAB UL IZZAT ki khasoosiyat ko padha aur samjha ab aap MAKHLOOK ki sifat w khasosiyat ko samjhe. 

ATAAYI :- ALLAH ki taraf se ata farmayi jati hai di gayi sifat ki dene wale ki sifat se koi barabari nahi ho sakti. 

Haadas :- MAKHLOOK ko sifat hamesha se hasil nahi baad main ata ki gayi. 

GER MUSTAQIL :- ata ki gayi sifat main istaqlal nahi hota kami beshi hoti rehti hai. ALLAH wapis bhi le sakta hai agarcha AMBIYA ALEHE SALAM se nahi leta. 

MEHDOOD :- makhlooq ki sifat ke had zaror hoti hai agarcha hamari samjh is had ko na samjh pati ho ALLAH ki tarha la mehmood nahi hoti 

Ab in sab baton ko zehen nasheen kare ki ALLAH ki sifat aur makhlook ki sifat main kiya farq hai aur jab aap ek baar samjh lenge tu tamam uljhan se hamesha ke liye chutkara mil jayenga.

Ab Aaram Aur Sukun se Samjhiye !

ALLAH TAAL'A Ka Maut Dena zati hai, Qadeem, Mustaqeel, Aur La Mehdood Sifat hai. 

HADRAT AZRAIEL ALEHE SALAM ka Maut dena ALLAH ki Ataa se,haadas,Ger Mustaqeel aur Mehdood sifat hai. 

💥 ALLAH ﷻ kisi ka paband nahi jab ki Hadrat AZRAIEL ALLAH ke hukum ke paband hai. 

Ab Gaur farmaye. Be shak lafz ek hi hai. Be shak sifat bazahir ek hi hai. Lekin farq hai. 

Shirk Waha hoga jaha fark na maana jayenga aur jaha farq ko tasleem kiya jayenga waha Shirk ka koi kaam Nahi. 

Bar bar padhe yaad kar le likh le zehen nasheen kare. 

Ab Dusri Misal bhi samjh lijiye  

ALLAH TABARAK W TAAL'A zati , kadeem , Mustaqeel , La mehdood madadgar hai. 

AMBIYA , AULIYA Aur farishtey ALLAH ki ata se Haadas , Ger Mustaqil aur mehdood madadgar hai. 

Point 1 :- jaha in sab se MADAD farq ko Samne rakhte huwe na maangi jaye waha Shirk hoga 

Note :- jo koi jahil bhi nahi karta. 

Point 2 :- jaha in sab se madad farq ko MANTE JANTE huwe maangi jayengi waha Shirk Nahi Ain Islam hai. 

Aap sabhi baten samjh gaye honge. 

Be Shaq Qura'n Hame IMAAN ki taalim deta hai Shirk Ki. 

IN SHA ALLAH ayenda chand Misale bhi Quran Kareem Hi se di jayengi

Quran E Majid Furqan E Hamid Main ALLAH RAB UL IZZAT ka irshad hai. 


لِّلَّهِ مُلْكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلْأَرْضِ ۚ يَخْلُقُ مَا يَشَآءُ ۚ يَهَبُ لِمَن يَشَآءُ إِنَٰثًا وَيَهَبُ لِمَن يَشَآءُ ٱلذُّكُورَ

اللہ ہی کے لیے ہے آسمانوں اور زمین کی سلطنت پیدا کرتا ہے جو چاہے جسے چاہے بیٹیاں عطا فرمائے اور جسے چاہے بیٹے دے


अल्लाह ही केलिए है असमानो और ज़मीन की सल्तनत पैदा करता है जो चाहे जिसे चाहे बेटियाँ अतआ फ़रमाए और जिसे चाहे बेटे दे। 

For Allah only is the kingship of the heavens and the earth; He creates whatever He wills; He may bestow daughters to whomever He wills, and sons to whomever He wills.

42-Ash-Shura : 49

Ab aaiye Quran hi main hai ki 

قَالَ إِنَّمَآ أَنَا۠ رَسُولُ رَبِّكِ لِأَهَبَ لَكِ غُلَٰمًا زَكِيًّا

بولا میں تیرے رب کا بھیجا ہوا ہوں، کہ میں تجھے ایک ستھرا بیٹا دوں،

बोला मैं तेरे रब का भेजा होवा हूँ कि मैं तुझे एक साफ़ सुथरा बेटा दूँ। 

He said, 'I am indeed one sent by your Lord; so that I may give you a chaste son.'

19-Maryam : 19

Beta dene ke liye jabriel Alehe salam aaye. 

Kaam ALLAH ka aur kare jabreil ?

Tu be ilm kahenga ki yeh Shirk hogaya. Yeh bhi bhool jayenga Quran Ka Irshad hai. 

ilm wala kahenga ki ALLAH ka aulad se nawazna zati sefat se hai. Jabreil Alehe Salam ka beta dene ki taqat le kar hazir hona ALLAH ki ata se hai. ALLAH ka dena haqeeqat hai. Aur jabreil Alehe Salam ka dena ALLAH hi ke hukum se hai 

Tu bataiye Shirk kaha ? Yehi tu manna ein Imaan hai ! 

Imaan walo ke liye ek ayate kareema hi kafi hai. Hum ne ab tak 6 ayate kareema paish kar di hai. 

ALLAH ne khud hi apne bando aur farishto ko salahiyate ata farmayi hai. Agar Makhlook main in safat ka manna SHIRK hota tu ALLAH deta hi kiyo ?

ALLAH hi ne di hai aur yaqeenan jab di hai tu IMAN Ka hi hissa mana jayengaa. 

Quran Ne Tamam asul wazeh farma rakhe hai ayate kareema main sab kuch safh safh clear wazeh hai.

Quran E Kareem main irshad huwa 


ٱللَّهُ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ ٱلْحَىُّ ٱلْقَيُّومُ ۚ لَا تَأْخُذُهُۥ 

اللہ ہے جس کے سوا کوئی معبود نہیں وہ آپ زندہ اور اوروں کا قائم رکھنے والا 

अल्लाह है जिस के सिवा कोई माबूद नहीं वो आप ज़िंदा और औरों का क़ायम रखने वाला। 

Allah – there is no God except Him; He is Alive (eternally, on His own). 

2-Al-Baqara : 255

Agar koi kahe ki zaati w atayi kuch nahi hota aur jo lafz ALLAH ke liye hai woh kisi aur ke liye kehna Shirk hai tu aap kiya jawab denge ? 

Lijiye jawab. 

Agar zati w atayi kuch nahi hota tu aisa kehne wale khud chalte phirte mushrik ho jayenge. Kiyo ki tum bhi zinda ho aur Quran main ALLAH TAAL'A ne bhi zinda hona apni sifat batayi hai. 

Lihaza khair isi main hai Tauba karo aur sahil ul aqeeda ulma e karam ilm e deen hasil karo. 

Ha khud ki be ilmi ki wajhe se kisi bhole bhale ko be wacoof banane ki koshis na karna.

ALLAH RAB UL IZZAT Apni Muqaddas kitab QURAN E PAAK main farmata hai. 

ِ مَن يَشَآءُ ۚ وَٱللَّهُ وَٰسِعٌ عَلِيمٌ

اور اللہ وسعت والا علم والا ہے

और अल्लाह वसत वाला इल्म वाला है। 

Allah is the Most Capable, the All Knowing.

5-Al-Ma'ida : 54

Ab Souchiye !

Agar Shirk isi ajeeb se asool ka naam hai jo ALFAZ ALLAH ke liye hai woh Ger ALLAH keliye kehna Shirk hai tu bachenga kaun ?

Agar aise hi zid hai tu is Man ghadat formoule se HAR USTAAD MUSHRIK , HAR ALIM MUSHRIK , HAR MUFTI MUSHRIK , HAR ILM WALA MUSHRIK , ho jayenga. 

Kiya is jhoote asol ki ragad se koi mehfooz reh jayenga ?

Kiya AMBIYA ALEHE SALAM ILM WALE NAHI ?

kiya JIBRAIEL W MEKAYEIL W AZRAFIEL , ASRAFIEL ILM nahi rakhte ? 

Manna padega farq hai. Farq hai ZATI w ATAYI 

ALLAH HIDAYAT DE. 

ALLAH RAB UL IZZAT apni kitab main farmata hai. 

ِ وَأَنَّ ٱللَّهَ سَمِيعٌۢ بَصِيرٌ ☀️

 اس لیے کہ اللہ سنتا دیکھتا ہے

इस लिए की अल्लाह सुनता देखता है। 

because ALLAH is All Hearing, All Seeing.

22-Al-Hajj : 61

Hum bhi dekhte hai. Aur sunte hai na ! 

ALLAH ka dekhna ZAATI sunna ZAATI 

Hamara dekhna sunna ATAA kiya huwa. 

Is zati aur atayi ke farq ki wajhe se hum dekhne aur sunne ke bawajood mushrik nahi hote. Kitna clear Asool hai. 

Isi tarha Madad mangne ka maamla hai. Woh bhi isi liye SHIRK nahi kiyo ki AMBIYA ALEHE SALAM w AULIA E KARAM aur FARISHTO ko khud ALLAH ne madad karne ki sifat ata farmayi jab is kadar saaf saaf bayan Maujood hai tu phir ahle sunnat w jamat yani maslak e haq per chalne walo ko zabardasti mushrik therana  yeh ek zid aur qaum w millat ko batna aur inteshar phelana hai. 

Pichli 11 parts main hum ne kayi ayate muqadasa se sabit kiya ki ALLAH AZWAJAL aur ger ALLAH ke liye ek hi lafz ya sifat ka izhar hargiz shirk nahi. 

Jo mushrikin makkah yahood w nasara butoon ( Murtiyo ) ke sath karte hai. Is liye shirk hai kiyo ki waha zati aur atayi ka farq nahi maana jataa. 

Hum AHLE SUNNAT W JAMAT zati w ata kiye gaye ka farq mante hai. 

Lihaza na koi Shirk na koi kufr 

Hum Quraan ki rah per hai jaisa ki sabit hai. 

Yaad rahe kal baroze qayamat har Jamat ko us ke Imam Ke sath bulayenge. 

Tu aap kin ke sath jaoge ?

يَوْمَ نَدْعُوا۟ كُلَّ أُنَاسٍۭ بِإِمَٰمِهِمْ ۖ فَمَنْ أُوتِىَ كِتَٰبَهُۥ بِيَمِينِهِ

جس دن ہم ہر جماعت کو اس کے امام کے ساتھ بلائیں گے 

17-Al-Isra :71

The End Part ....


✅POSTED BY:-


☢J.M.A.GLOBAL TEAM....     JAMAT-e-A'LA H'AZRAT





J.M.A. BRODCAST AUR J.A.H WHAT APP GRPS  ME ADD HONE KE LIYE IS NUMBER PAR MSG KARE...

+91 9997551692

0 comments:

Post a Comment

Please Comment If You Like The Post