Text Widget

Showing posts with label Hajj. Show all posts
Showing posts with label Hajj. Show all posts

Tuesday 18 October 2016

☣ASHURA (10 MOHARRAM) KI FAZILAT...☣

☣ASHURA (10 MOHARRAM) KI FAZILAT...☣


ASHURA
(10 MUHARRAM) KI FAZEELATE AUR SAIYEDNA IMAM-E-HUSSAIN رضی الله عنہ KI KUCH KARAMATE.....


⛺ASHURA KE DIN KI ITNI FAZEELAT KYU ❓❓❓

🎴10 MUHARRAM KE DIN ARSH, KURSI, AASMAN, ZAMEEN, SOORAJ, CHAND,SITARE, AUR JANNAT PAIDA KIYE GAYE..

🀄AASHURA K ROZ AADAM عليه السلام  KO PAIDA KIYA GAYA, ISI DIN UNHE JANNAT ME DAKHIL KIYA GAYA AUR ISI DIN APKI TOUBA BHI QABOOL KI GAYI .







🎴ASHURA K ROZ HAZRATE IBRAHIM عليه السلام PAIDA HUWE ISI DIN UNHE AAG SE NIJAT MILI..

🀄ASHURA K ROZ HAZRATE IDREES عليه السلام KO MAQAME BULAND KI TARAF UTHAYA GAYA..

🎴ASHURA K DIN AYYUB عليه السلام KI TAKLIF RAF 'A KI GAI.

🀄AASHURA K DIN YUSUF عليه السلام GEHRE KUNWE SE NIKALE GAYE.

🎴AASHURA K DIN YUNUS عليه السلام MACHHLI K PET SE NIKALE GAYE.

🀄ASHURA K DIN YAQOOB عليه السلام KI BINAAI KA ZUAF DOOR HUWA..

🎴AASHURA K DIN SULEMAAN عليه السلام KO MULKE AZIM ATA KIYA GAYA...

🀄AASHURA K DIN NOOH عليه السلام KI KASHTI KUHE JUDI PAR THAHRI..

🎴AASHURA K DIN MOOSA عليه السلام OR AAP KI UMMAT KO NAJAT MILI OR FIRON APNI QOUM SAMET GARAQ HUA...

🀄AASHURA K DIN ISAA عليه السلام PAIDA KIYE GAYE OR ISI DIN UNHE AASMANO KI TARAF UTHAYA GAYA..

🎴AASMAN SE ZAMEEN PAR ISI DIN SABSE PEHLI BARISH NAZIL HUYI..

🀄AUR ISI DIN KA ROZA UMMATO ME MASHOOR THA YAHA TAK KE YE BHI KAHA GAYA HAI KI IS DIN KA ROZA MAHE RAMZAN SE PEHLE FARZ THA FIR MANSOOKH KAR DIYA GAYA AUR HUZUR ﷺ NE HIJRAT SE PEHLE IS DIN KA ROZA RAKHA...

📚(MUQASHAFATUL QULUB)

⛺MUHARRAM KA MAHINA...

🎴Ameer'ul'Momineen Saiyedna Usman Ghani رضی الله عنہ Farmate hai Ke Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Farmaya...

🀄Muharram Ke Mahine ki Izzat-Wa-Takrim Karo, Ye Allah Taa'la ka Mahina hai, Jisse Muharram Ke Mahine ki Taa'zim O Toukir ki Allah Taa'la Use Jannat Me Izzat Wa Takrim Se Nawazega...

🎴Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya "Jisne Zull'Hijjah Je Mahine ke Bad Aakhri Din Aur Muharram Sharif ke Pehle Din Roze Rakhhe, Goya Usne Saal Bhar Roze Rakhe Aur Uske 60 Saal ke Gunaah Baksh Diye Jaenge...

🀄Huzur ﷺ Ne Farmaya "Jisne Muharram Sharif ke Mahine Ki Pehli, 10vi aur Aakhri Tarikh Ke Roze Rakhe Allah Taa'la Use Jannat Me Ese 30 Sehar Ata Farmayega ke Jiske Har Mehal me 30-30 Kamre Honge Aur Har Mehal Me Mukhtalif Darje Honge, Jinme Ese Baagat Honge Jisme Behre Jari Rahegi Aur Hoor-O-Gilma Khidmat ke Liye Hazir Rahenge...

🎴Aage Irshad Farmaya "Jisne Muharram Sharif ke Mahine Ke Pehle 10 Din Roze Rakhhe Goya Usne 10,000 Saal Esi Nafil Ibadat Ki Ke Raate Qayam Me Aur Din Roze me Guzara...

🀄Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke "Jo Saksh Apne Wajood Par Dozakh Ki Aag Haram Karna Chahta hai Usko Chahiye Ke Muharram Sharif Ke Roze Rakhhe...

🎴Aage Irshad Farmaya "Muharram ke Mahine Ke Jumma ki Raat me Ibadat Karne Wala Esa hai Jese Use Shabe Bar'at Naseeb Huyi....

⛺ASHURA KI FAZEELAT...

🎴Hazrate Ibne Abbas رضی الله عنہ Se Marvi hai ke Huzur ﷺ Madina Munawwara Tashrif Laye To Apne Yahood ko Ashura Ke Din Ka Roza Rakhte Dekhkar Pucha ki Tum Is Din Roza Kyo Rakhte ho???

🀄Unhone Jawab Diya Ki Ye Esa Din hai Jisme Allah Taa'la ne Moosa Aleyhissalam Aur Bani Israeel Ko Fir'on Aur Uski Qoum Par Galba Farmaya Tha Lihaza Hum Tazeeman Is Din Ka Roza Rakhte hai, Ispar Huzur ﷺ Ne Farmaya Ki Hume Moosa Aleyhissalam Se Nisbat Jyada Qareeb Hai Chunache Aapne Bhi Us Din ka Roza Rakhne ka Huqm Diya...

🎴Jab Aap Madina Munawwara Tashrif Laye To Is Din ki Justaju ki Taqeed Ki Yaha Tak Ke  Aakhri Umr Sharif Me Farmaya Ki Agar Me Aainda Saal Tak Zinda Raha to Aainda 9 Zill Hijja Aur 10 Muharram Ka Roza Rakhunga Magar Apne Usi Saal Wisal Farmaya Aur 9vi ke Siwa 10vi ka Roza Na Rakh Sake Magar Apne Is Din 9vi Aur 10vi Aur 11vi Muharram Ke Dino me Roza Rakhne Ko Pasand Farmaya...

🀄Jesa ke Farmane Nabawi hai Is Din se Ek Din Pehle Aur Ek Din Bad Roza Rakho Aur Yahood Ke Tarike ki Mukhalifat Karo Kyonki Woh Ek Din hi ka Roza Rakhte the....

⛺ASHURA KI FAZEELAT...

🎴Hazrate Ibne Abbas رضی الله عنہ Se Marvi hai ke Huzur ﷺ Madina Munawwara Tashrif Laye To Apne Yahood ko Ashura Ke Din Ka Roza Rakhte Dekhkar Pucha ki Tum Is Din Roza Kyo Rakhte ho???

🀄Unhone Jawab Diya Ki Ye Esa Din hai Jisme Allah Taa'la ne Moosa Aleyhissalam Aur Bani Israeel Ko Fir'on Aur Uski Qoum Par Galba Farmaya Tha Lihaza Hum Tazeeman Is Din Ka Roza Rakhte hai, Ispar Huzur ﷺ Ne Farmaya Ki Hume Moosa Aleyhissalam Se Nisbat Jyada Qareeb Hai Chunache Aapne Bhi Us Din ka Roza Rakhne ka Huqm Diya...

🎴Jab Aap Madina Munawwara Tashrif Laye To Is Din ki Justaju ki Taqeed Ki Yaha Tak Ke  Aakhri Umr Sharif Me Farmaya Ki Agar Me Aainda Saal Tak Zinda Raha to Aainda 9 Zill Hijja Aur 10 Muharram Ka Roza Rakhunga Magar Apne Usi Saal Wisal Farmaya Aur 9vi ke Siwa 10vi ka Roza Na Rakh Sake Magar Apne Is Din 9vi Aur 10vi Aur 11vi Muharram Ke Dino me Roza Rakhne Ko Pasand Farmaya...

🀄Jesa ke Farmane Nabawi hai Is Din se Ek Din Pehle Aur Ek Din Bad Roza Rakho Aur Yahood Ke Tarike ki Mukhalifat Karo Kyonki Woh Ek Din hi ka Roza Rakhte the....

⛺10 MUHARRAM SHARIF KA ROZA....

🎴Jo Shaks Dozakh Ki Aag Apne Upar Haram Karna Chahe
Wo Maah-E-MUHARRAM Ke Roze Rakhe..

📔(ANISUL WAEZEEN)

🀄Jo Shaks Yaum-E-Aashura ISMAD SURMA Aaankho Me Lagaye
To Uski Aankhe Kabhi Nahi Dukhegi...

📘(SHAUBUL IMAAN JILD-3 SAFA-367 HADEES-3797)

🎴Jis Ne Aashura Ki Sham Kisi Momeen Ki Roza Iftar Karaya
Usko Puri UMMAT Ko Roza Iftar Karane Ka Sawab Milega...

📓(GUNYATUT TALIBIN)

🀄10 MUHARRAM KE DIN 4 NAFL PAHE
ALHAMDU KE BAAD QUL HUWALLAH 11 MARTABA PADHE
50 SAAL KE GUNAH
MAAF HOTE HAI..

📕(NazhatuL Majaalis J-1,S-146)




🎴Huzur Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Farmaya "Jis Musalman Ne 10 Muharram Ka Roza Rakha Uske Nama'e'Aamal Me Esi 60 Saal ki Ibadat Ka Sawab Likkha Jaega Ke Usne Har Shab Qayam Kiya Aur Har Din 60 Saal Tak Roze Rakhe...

🀄Huzur ﷺ Ne Farmaya "Jo Musalman 10 Muharram Ko Roza Rakhe Use Dozakh Ki Aag Hamesha-Hamesha Ke Liye Choo bhi nahi Sakti...

🎴Huzur ﷺ Ne Farmaya "Jis Musalman Ne 10 Muharram ko Qur'ane Kareem ki Kum se Kum 10 Ayate Tilawat Ki Use Pure Saal Qurane Paak Ki Tilawat Ka Sawab Milta Rahega...

🀄Aur Is Din ki Ek Neki 10,000 Neki ke Barabar Hoti hai Aur Is Din ke Roze ka Sawab 700 Saal ki Ibadat Ke Sawab Ke Barabar Ata kiya Jata hai Aur Us Saksh Ko Allah Taa'la Gunaho se Paak Farma Deta hai...

📖(Fazaeel-O-Aa'male Ashura, Safa-09-10)

⛺HASNAIN KARIMAIN KI SHAF'AT...

🎴Riwayato me Milta Hai ke Jo Imandar 10 Muharram Ke Din 4 Raq'at Nafil Ada Kare Uska Sawab Hazrar Imam Hasan Aur Hazrat Imam Hussain رضي الله عتهما Ki Bargah me Nazr Kare to Roze Qayamat Ye dono Imam Us Khush naseeb Saksh Ki Shaf'at Karke Jannat me Dakhil Karaenge....

🀄Is 4 Raq'at Nafil Ada Karne ka Tarika Ye hai Ke Har Raq'at Me Sureh Fatiha ke Bad 15 Martaba Sureh Ikhlas(Kul huwallah Sharif) Padhe....

🎴Hazrat Shaikh Shibli رضی الله عنہ Ne Ye 4 Raq'at Nafil Ada Karke Hazrat Hasnain Karimain Ki Bargah Me Iska Sawab Naze kiya To Unhe Khawab Me In Dono Imamo ki Ziyarat Naseeb Huyi Aur In Dono Imamo ne Unhe Basharat Di ke...

🀄AYE SHAIKH SHIBLI HUM TUMHE QAYAMAT KE DIN APNE SATH JANNAT ME LE JAENGE AUR YE SIRF TUMHARE LIYE NAHI BALKE JO BHI MUSALMAN HUMARI MUHABBAT ME YE AMAL KAREGA HUM USKI SHAF'AT KARKE JANNAT ME LE JAENGE...

🎴Huzur ﷺ Ne Farmaya "Jisne 10 Muharram ko Kisi Yateem ke Daste Shaf'qat Fera Use Har Baal ke Badle Ek Darja Ata hoga....

📖(Fazaeel-O-Aa'male Ashura, Safa-10'11)

⛺YOUME ASHURA KE KUCH AA'MAL...

🎴Kafi Ahadees Me Marvi hai Ke Ashura Ko Itni Bato Ka Lihaz Rakhe...

①.Is Din Ka Ehtaram Kare, Gusl Kare Aur Paak Saaf Rahe..

②.Roza Rakhe Aur Mehmano ke Sath Iftar Kare..

③.Buri Bato se Zaban Ko Roke..

④.Ahlo Ayal Par Kushada Dili se Kharch Kare..

⑤.Sulah Rehmi Kare, Aizza Wa Akarba Se Nek Sulook Kare..

⑥.Fukra Par Sadqa Kare Aur Unse Muhabbat se Pesh Aaye..

⑦.Musalman Bhaiyo Se Mulakat Kare Aur Ulma-Wa-Sulha ki Ziyarat Ko jaye..

⑧.Salam Me Sabkat Kare Aur Sabse Muhabbat se Pesh Aaye...

⑨.Dushman se Sulah Joyi Kare...

⑩.Jis Rishtedar Se Talluk Toot Chuka ho Use Jodne ki Koshish Kare...

⑪.Hajamat Banwaye Aur Bula Qasd Zebaish Saaf Suthre Kapde Pehne...

⑫.Bhooke Ko Khana Khilao Aur Pyase Ko Pani Pilao...

⑬.Janaze ke Sath Jao..

⑭.Yateem Ke Sar par Hath Fere Ya'ni Uski Imdad-W-Ia'nat Kare..

⑮.Maa Baap Ki Khidmat Kare Aur Unki Duwaye Le..

⑯.Apne Gunahi se Sacche Dil se Touba Kare Aur Rokar Duwaye Mange..

⑰Bargahe Rabb me Apne Walidain Aur Apne Rishtedaro ki Magfirat ki Duwa Mange....

📖(Fazaeel-O-Aa'male Ashura, Safa-13-14)

⛺AASHURA KE DIN HIRNIYA APNE BACCHO KO DOODH NAHI PILATI...

🎴Sarkar Saiyedna Khawaza Nijamuddin Auliya رضی الله عنہ Ne Farmaya Shekhul Islam Wal Muslimin Hazrat Baba Farud-Uddin Mas'ood  Ganje Shakar رضی الله عنہ Farmate hai...

🀄AASHURA KE ROZ JUNGLE KI HIRNIYA BHI KHANDANE RASOOLALLAH ﷺ KI DOSTI KE SABAB APNE BACCHO KO DOODH NAHI PILATI FIR US DIN KE ROZE KO KYU CHODE...

📚(RAHAT-UL-QULOOB)

⛺HOOR NE KAHA ME AASHURA HU...

🎴Misr me Ek Saksh Tha Jiske Pas Ek Kapde ke Siwa Kuch Na tha Usne Aashura Ke Din Masjide Hazrat Amr Bin Aas Me Subha ki Namaz Padhi Waha Qayeda Ye tha ke Ashura ke Din Aurte Us Masjid me Jaya Karti thi..

🀄Ek Aurat ne Us Saksh Se Kaha Ke Allah ke Liye Mere Baal-Baccho Ke Liye Kuch De do Us Saksh Ne Kaha Acha Mere Sath Chalo, Ghar ke Andar Jakar Us Saksh ne Apna Wo Kapda Utara Aur Darwaze ki Daraz Se Us Aurat ko De Diya Us Aurat Ne Duwa di ke Allah Tujhe Janant ke Hulle(Jannat Ka Zewar) Pehnaye..

🎴Usi Raat Us Saksh Ne Khawab me Nihayat Khubsurat Hoor Dekhi Us Hoor Ke Pas Ek Saib(Apple) Tha Usne Us Saib ko Toda To Usne Ek Hulla Paya Us Saksh ne Hoor se Pucha Tu Koun hai ?? To Hoor ne Jawab Diya Me Aashura hu Jannat me Teri Biwi Fir wo Saksh Bedar Huwa To Apne Pure Ghar ko Khushbu se Mehakta paya...

🀄Wuzu Karke 2 Raq'at Namaz Padhi Aur Duwa Ki Aye Allah Agar Waqayi Wo Jannat Me Meri Biwi hai To Meri Rooh Qabz Kar Le Aur Muje Uske Pas Pahucha de Allah Taa'la Ne Uski Duwa Qabool Farma Li Wo Saksh Usi Waqt Inteqal Kar gaya Goya Pahucha Marerz Apne Masiha ke Pas...

📚(Nuzhatul Majalis)

🔵Sabit Huwa ki Ashura Ke Din Garib-O-Miskeen Ko Sadqa Karna Aur Unki Iyadat Karne Ki Fazeelat kitni Jyada hai....

⛺ASHURA KE DIN TILAWAT-WA-DUWA ME MASHGOOL RAHO...

🍂Saiyedna Sarkar Nizamuddin Auliya رضی الله عنہ Ne Farmaya Ke Saiyedna Baba Farid'Uddin Ganje Shakar رضی الله عنہ Ne Farmaya ...

🍃Is Ashre Me Kisi Aur Kaam me Mashgool Nahi Hona Chahiye Siwaye Ita'at, Tilawat, Duwa Aur Namaz ke Alawa, Is Waste ke Is Ashre me Kehre Ilahi Bhi Huwa hai Aur Rehmate Ilahi bhi Bahut Nazil Huyi hai Uske Bad Farmaya Ke..

🍂MUJE MALOOM NAHI KE IS ASHRE ME HUZUR SARWARE AALAM ﷺ PAR KYA GUZRI AUR AAP KE FARZANDO KO KIS BE-REHMI SE SAHEED KIYA GAYA BAA'Z PYAAS KI HALAT ME HALAK HUWE UN BAD'BAKHT YAZEEDIYO NE UN ALLAH KE PYARO KO PANI KA EK QATRAH TAK NA DIYA...

🍃Saiyedna Mehboob-E-Ilahi رضی الله عنہ Farmate hai Ke Jab Saiyedna Baba Farid'Uddin Ganje Shakar رضی الله عنہ Ne Ye Bat Irshad Farmayi To Ek Naa'ra Maarkar Behosh Ho Gaye Fir Jab Hosh Aya To Farmaya...

🍂KESE KAFIR BE-SA'DAT BE-AAQIBAT NA'MEHARBAN THE, HAALANKE UNHE KHOOB MALOOM THA KE YE DEEN-O-DUNIYA WA AAKHIRAT KE BADSHAH KE FARZAND HAI FIR BHI UNHE BADI BE-REHAMI SE SAHEED KAR DIYA AUR UNHE YE KHAYAL NA AYA KE KAL QAYAMAT KE DIN HAZRATE KHAWAZA E AALAM ﷺ KO KYA MUNH DIKHAYENGE..

📚(RAHAT-UL-QULOOB)

⛺MENE LIKAA(MULAKATE) RABB KO IKHTIYAR KIYA...

🎴Ek Riwayat Is Trah Milti hai Ke Jab Wo Waqt Aa Gaya Ke Saiyedna Imam-E-Hussainرضي الله عنه Ke Tamam Sathi Sab Ek-Ek Karke Saheed ho Gaye Aur Saiyedna Imam-E-Aali Maqam Tanha Hai To Sehzade Rasool Saiyedna Imam-E-Aali Maqam رضی الله عنہ Ne Fir Itmame Hujjat ke Liye Ba-Aawaze Buland Pukara...

🔳KOI HAI JO HURMATE RASOOL SE DUSHMANO KE SHAR KO DOOR KARE...

🔲KOI HAI KHUDA PARAST JO HUMARE MUA'MLE ME KHUDA SE DARE..

🔳KOI HAI FARIYADRASS JO SAWABE KHUDA WANDI KI KHATIR HUMARI FARIYAD RASI KARE...

🔲KOI MADADGAR HAI JO HUSOOLE AJRO SAWAB KI KHATIR HUMARI MADAD KARE....

🀄Magar Yazeedi Sangdilo Par Saiyedna Imam-E-Aali Maqam رضی الله عنہ Ki Is Pukaar ka Koi Asar na Huwa Fir Saiyedna Imam-E-Aali Maqam Ne Raah-E-Haq me Apni Sabit Qadami Aur Isteqamat Ke Liye Bargahe Rabb me Yun Istigasa Kiya...

🎴AYE ALLAH KI MADAD NAZIL HO...

🀄Allah Taa'la Ne Apni Nusrat(Madad) Ko Ek Noorani Parinde ki Shakal Me Bheja Usne Saiyedna Imam-E-Hussainرضي الله عنه  Ke Ser Mubarak Par Apne Parr Hilaye Aur Kaha ke Allah Taa'la ne Apko Ikhtiyar Diya hai Ke Aap Chahe to Apko Apke Dushmano Par Zahiri Fateh De deta hu Aur Agar Aap Chahe to Meri Likaa(Mulaqat) Ko Ikhtiyat Kar le To Saiyedna Imam-E-Hussainرضي الله عنه Ne Bahut Khushi Se Apne Parwardigare Aalam ki Likaa(Mulaqat) Ko Iktiyar Farmaya...

📚(Al-Hayatul Khafi- Ba-Hawala:- SAHADATE NAWASA-E-RASOOL SAIYEDUL ABRAR)

🎴Ba'az Riwayato Me Hai ke Rabb ke Huqm Se Farishte Aaye Aur Kaha Ke Aye Saiyedna Imam-E-Aali Maqam Aap Huqm De To Hum Apke Dushmano ko Mita de Aapne Farmaya Me Rabb ki Likaa(Mulaqat) Chahta hu...

🀄Kuch Riwayato me Ye bhi hai Ke Jinnato Ka Lashkar bhi Madad ke Liye aaya Apne Yahi Farmaya "ME APNE RABB KI LIKAA(MULAQAT) CHAHTA HU....

💐Subhaan Allah Haq Hussain Ya Hussain...
رضی الله عنہ

⛺SAHADAT SE PEHLE APKI EK AZEEM KARAMAT...

💛HAZRAT ABDULLAH YAMANI KA JAHAZ TOOFAN SE BACHA LIYA GAYA..

🎴Ek Sahab Jinka Naam Abdullah Yamani tha, Aap Saiyedna Imam-E-Aali Maqam Ke Mureed the, Sodagari Karte the Apna Samane Tijarat Liye Huwe Samandar Me Safar Kar Rahe the, Jahaz bhi Aaj Kal ka Stimmer Aur Dakhhani Jahaz Nahi tha Balke Wo Purane Zamane Ka Pardo se Chalne Wala Jahaz Tha, MuHarram Hijri 61 Ka Mahina tha 10vi Tarikh Jumma ke Din Dophar ka Waqt tha....

🀄Samandar me Toofan Aa Jata hai, Hazrat Abdullah Yamani رضی الله عنہ Ka Jahaz Toofan Me Fass Jata hai, Parde Fatt Jate Hai Mastul Toot Jata hai Hazrat Abdullah Yamani رضی الله عنہ Ko Apne Aur Apne Sare Mulazamin Ke Doob Jane Ka Yakeen Ho Jata hai Yaka-yak Unko Apne Peer Dastageer Saiyedna Imam-E-Aali Maqam رضی الله عنہ Ki Yaad Aa Jati hai Arz Karte hai...

💛AYE FARZANDE RASOOL MERI KHABAR LIJIYE...

🎴Fouran Dekhte hai Ke Ek Sahab Tezi Se Pani ke Upar Ghoda Doudate Huwe Tashrif Laye Jinke Chehre Pas Naqab Hai Kapdo Par Gardogubar Aur Ja'baja Khoon ke Cheente hai Aur Dono Hatho se Ek Nanhe Bacche ko Gale Lagaye Huwe hai Wo Baccha Apne Nanhe-Nanhe Hatho ko Unki Gardan me Hamayil Kiye Huwe Us Bacche Ke Hulkum se Kuch Khoon Ke Qatre Tapak Rahe hai...

🀄Toofan Ke Andar Ghode ko Lakar Jahaz Ke Pas Tashrif Laye Hath to Khali Nahi Lihaza Apne Dahine Baazu Se Jahaz ko Sahara Dekar Toofan Se Bahar Pahucha Dete hai...

🎴Hazrat Abdullah Yamani رضی الله عنہ Ye Hoshruba Hairat Afroz Manzar Dekhkar Arz Karte hai HUZUR AAP KOUN HAI ??

💛SAIYEDNA IMAM-E-AALI MAQAM رضی الله عنہ NE APNE CHEHRE ANWAR SE NAQAB UTHA DIYA, HAZRAT ABDULLAH YAMANI DEKHTE HAI KE YE TO HUMARE PEER-O-MURSHID PEER DASTAGIR IMAM-AALI MAQAM HAI...

🀄Hazrat Abdullah Yamani رضی الله عنہ Bechain Ho Jate hai Aur Arz Karte hai Aye Aqa Meri Jaan Aap Par Kurban Mere Maa-Baap Huzur Par Kurban Me Sarkar ko Kis Haal Me Dekh Raha hu....

🎴Saiyedna Imam-E-Aali Maqam رضی الله عنہ Irshad Farmate hai Ke Aye Hazrat Abdullah Yamani Mere Nana'Jaan Ka Kalma Padhne Walo Aur Unka Ummati Kehlane Walo ne Medane Karbala Me Muje Ghera hai Chahte hai ke Yazeed Jo Ek Fasik-Fajir Sharab khor Be-Namazi Zinakar Hai Mujse Bait Lekar Mere Nana'jaan ﷺ Ke Deen-E-Paak Me Rakhna Daal de....

⛺HAZRAT ABDULLAH YAMANI KA JAHAZ TOOFAN SE BACHA LIYA GAYA..

⬇CONT...

🎴Lekin Isliye Ke Deen-E-Mustufa ﷺ Me Rakhna Na Padne Paye, Nana'Jaan ﷺ Ki Shariyate Tahira Ke Sirf Isi Mas'ale Ki Khatir Ke Jo Saksh Mukhalife Shariyate Islamiya Aur Fasik Fajir Uske Me Hath Dena Usko Apna Qaeede Azam Aur Ameer-Ul-Momineen Banana Jaiz Nahi Samajta...

🀄Is Waqt Tak Mere Sathi Aur Rafeeq Bhai Aur Bhatije Bhanje Aur Bete 3 Roz Ke Bhooke Aur Pyase Khushi-Khushi Deen-E-Haqq Par Kurban Ho Chuke Hai...

🎴Ye Waqt wo Tha Ke Me Apne Jigar Ke Tukde Aankho Ke Taare 6 Mahine Ke Nanhe Shir Khawar Bacche Ali Asgar Ko Dushmano Ke Samne Le Gaya tha Ke Jis Nabi ﷺ Ka Tum Kalma Padhte ho Jiska Ummati Hone ka Da'wa Karte ho Us Nabi-E-Paak Ka Huqm hai...

🀄KAFIRO AUR MUSHRIKO KE BACCHO PAR BHI REHAM KIYA JAYE FIR YE TO TUMHARE NABI ﷺ KI SEHZADI KA POTA HAI 3 ROZ SE PYAS ME TADAP RAHA HAI AGAR TUMKO YE KHAYAL HO KE ISKE BAHANE SE PANI MANG KAR ME KHUD PI LUNGA TO TUM ME SE BHI HAZARO AULAD WALE HAI KOI SAKSH JO BACCHO KI MAAMTA RAKHTA HO WO ISPAR REHAM KARE AUR AAYE MERI GOUD ME SE KHUD APNI GOUD ME LE JAYE IS BACCHE KO KHUD APNE HATHO SE PAANI PILAKAR MUJE DE JAYE...

🎴Ispar bhi Un Khabeeso ke Dilo me Reham Na aaya, Hurmula Bin Kahil Ne Taak Kar Teer Mara Jo Is Bacche ke Hulkum Par Pada Baccha Tadapne Laga Mene Teer Nikala Teer ke Sath Nanhi Si Jaan Bhi Nikal Gayi Me Is Bacche Ali Asgar ko Medane Karbala se Kheme me Leja Raha tha ke Fufi Zainab ki Goud me Jakar De du Aur Keh du...

🀄ALI ASGAR KI MAA SE KEH DENA KE DEKHNA BE-SABRI NA KARNA BALKE ALLAH TAA'LA KA SHUKR ADA KARNA KE USNE APNE KARAM SE YE NANHI SI KURBANI BHI QABOOL FARMA LI AUR KEH DENA KE LO YE NANHA SA SAHEED BHI MUBARAK HO...

🎴Abhi me Raste me Tha ke Tumhari Fariyad Mere Kaan Me Pahuchi Khayal Huwa ke Jab Tak me Is Bacche ko Pahuchane Jau Itni der me Kahin Tumhara Jahaz Doon Na Jaye to Qayamat Ke Din Tumse Muje Sharmindagi Ho ke Tumne Mujse Fariyad ki Mene Tumhari Fariyad Suni Fir bhi Tumhari Madad ko Na Pahucha Is Liye Jaldi me Is Nanhe Saheed ko Gale Se Lagakar Chala Aaya...

🀄Acha Ab Fursat Nahi Sharbate Deedar Ki Pyaas Bahut Tadpa Rahi hai Uroose Sahadat Muje Bula Rahi hai Lo An Rukhsat hota hu السلام عليكم ورحمة الله وبركاته...

🎴Hazrat Abdullah Yamani رضی الله عنہ Zaar-O-Qatar Ro Rahe hai Hichkiya Bandi Huyi hai Aansu Puchte Huwe Salam Ka Jawab Arz Karte hai وَعَلَيْكُمُ السَّلاَمُ وَرَحْمَةُ اللّهِ وَبَرَكَاتُهُ Ab Jo Dekhte hai to Sawari Nigaho se Gayab ho Chuki hai...

🎴Allahu Akbar....

📚(Gulzare Sohda)

💻JOIN JAMATE ALA HAZRAT WHATS APP GRP...*

*📱+91 99 97 55 16 92

Sunday 9 October 2016

ROZ MARRA KE ZAROORI MASAEEL(BAHAR-E-SHARIYAT)

ROZ MARRA KE ZAROORI MASAEEL(BAHAR-E-SHARIYAT)


⚫NAJASAT /GUSL/WUZU/NAMAZ KA MUKHTASAR BAYAN......


NAJASAT KA BAYAN...

✅HADEES NO. 1 :- 

📌SAHI BUKHARI wa MUSLIM me ASMAA BINTE ABOO BAKR RADIYALLAHU T'ALA ANHU se marwi ki ek aurat ne arz ki YA RASOOLULLAH SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM Hum me jab kisi ko haiz ka khoon lag jaye to kya karein? 
📌Farmaya jab tumme se kisi ke kapde ko haiz ka khoon lag jaye to use khurche fir pani se dhoye tab usme namaaz padhe. 

📚(Bahare shariat)

✅HADEES NO. 2:- 
MUSLIM SHAFEEF me hai ki SIDDEEQA RADIYALLAHU T'ALA ANHA farmati hain ki main RASOOLULLAH SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM ke kapdon se manee ko Mall Daalti fir HUZOOR us se namaaz padhte. 

📚(Bahare shariat/Hissa 2, page 109)

✅HADEES NO. 3 :- 

📌MUSLIM SHAREEF me ABDULLAH IBNE ABBAS RADIYALLAHU ANHUMA se marwi hai ki RASOOLULLAH SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM farmate hain chamrha jab paka liya jaye to paak hai. 

✅HADEES NO. 4 :- 

📌IMAAME MAALIK UMMUL MOMINEEN SIDDEEQA RADIYALLAHU T'ALA ANHA se rawi hain ki Murdaar ki khaalein jab ki paka li jayein to unhe kaam me laya ja sakta hai. 

📚(Bahare shariat /Hissa 2, page 109)

✅HADEES NO. 5:- 

📌IMAAME AHMAD wa ABOO DAAUD aur NASAI ne riwayat ki 
ki RASOOLULLAH SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM ne Darindon ki khaal se manaa farmaya hai. 

✅HADEES NO. 6 :-

📌Dusri Riwayat me hai ki unke pahanne aur us par baithne se manaa farmaya hai.

📚(Bahare shariat /Hissa 2, page 109)

NAJAASAT KE MUA'ALLIQ AHKAAM...

✅Najaasat 2 qism ki hain 
ek woh jiska hukm sakht hai usko galeeza kahte hain. 

✅Dusri Woh jiska hukm halka hai use khafeefa kahte hain,

✅Mas,ala :-

📌Najaasate galeeza ka hukm yeh hai ki agar kapde ya badan me ek dirham se zyada lag jaye to uska paak karna farz hai agar be-paak kiye Namaaz to hogi hi nahi aur agar jaanboojh kar pahhi to gunaah bhi hua..

📌Aur agar istikhfaaf (halka samajhna) ki niyat se ki to kufr hai,

📌Aur agar dirham ke barabar hai to paak karna wajib hai agar be-paak kiye Namaaz padhi to makroohe tahreemi hui yani aisi namaaz ka loutana wajib hai aur jaanboojh kar padhi to Gunahgaar bhi hua agar dirham se kam hai to paak karna sunnat hai ki Be-Paak kiye Namaaz ho gai lekin sunnat ke khilaaf hai aur uska loutana behtar hai, 

✅Mas,ala :-

📌Agar Najaasat Gaadhi hai jaise pakhane leeed ya gobar to dirham ke barabar ya kam ya zyada ke ma'ana yeh hai ki wajan me us ke barabar ya kam ya zyada ho aur dirham ho aur dirham ka wajan is jagah shariat me saadhe 4 maashe aur zakaat me 3 masha 1.5 (one half) ratti hai aur agar patli hai jaise aadmi ka peshab aur sharab to dirham se murad uski lambaai churhaai hai aur shariat ne uski miqdaar hatheli ke gahraai ke barabar bataai yani hatheli khub faila kar barbabar rakhe aur us par aahista se itna pani daalein ki us se zyada pani na rook sake ab pani ka jitna failaaw hai utna badha dirham samajha jaye aur uski miqdaar taqreeban yahan (India) ke rupye ke barbar hai. 

📚(Bahare shariat /Hisaa 2, page 109-110)

Mas,ala :-

📌Najis tel kapde par gira aur us waqt dirham ke barabar na tha fir fail kar dirham ke barabar ho gaya to us me Aalimon ko bahut iktelaaf hai lekin tarjeeh is baat ki hai ki paak karna wajib ho gaya, 

Mas,ala :-

📌Najaasate Khafeefa ka yeh hukm hai ki kapde ke jis hisse ya badan ke jis uzw me najaasat lagi hai agar uske chouthai se kam hai 
(jaise daamam me lagi hai ti daaman ki 4thaai se kam)

📌Aastin me lagi hai to aastin ke 4thaai se kam aur aise hi hath me lagi ho to hath ke 4thaai se kam) to muaaf hai ki namaaz ho jayegi aur pura 4thaai me hai to be-dhoye namaaz na hogi, 

Mas,ala :-

📌Najaasate Galeeza aur Khafeefa ke Alag Alag hukm bataye gaye hain yeh usi waqt hain ki badan ya kapde me lagein aur agar kisi patli cheez jaise pani ya sirke me gire to chaahe galeeza ho ya khafeefa kul Napaak ho jayega agarche ek Qatra gire jab tak woh patli cheez kasrat ki had par yani dah-dar-dah na ho,

📌Dah-dar-dah ka matlab yeh hai ki lambaai 10 hath aur chourhaai 10 hath ho aur gahraai itni ho ki zameen na khule,

Mas,ala :-

📌Insan ke jism se aisi cheez nikale ki us se gusl ya wuzoo wajib ho najaasate galeeza hai jaise peshaab, pakhana, bahta khoon, peep, bhar muh qai, haiz, nifaas, istihaza ka khoon, manee, mazee, wadee. 

Mas,ala :-

📌Shaheede fiqhi 
(yani woh shaheed jise gusl nahi diya jata) uska khoon jab tak uske badan se juda na ho paak hai, 

Mas,ala :- Dukhti aankho se jo ani nikale najaasate galeeza hai yuin hi naaf pistaan se dard ke sath jo pani nikla najaasate galeeza hai. 

Mas,ala :-

📌Balgami Ratoobat naak ya muh se Nikale najis nahi Agarche pet se charhe ya beemari ke sabab ho, 

Mas,ala :-

📌Doodh peete ladke ladki ka peshab najaasate galeeza hai yeh jo aksar aawam mash,hoor ki doodh peete bache ka peshab paak hai bilkul galat hai, 

Mas,ala :-

📌Doodh peene wale bache ne doodh daal diya agar bhar muh hai to najaasate galeeza hai. 

📚(Bahare shariat /Hissa 2, page 110-111)

Mas,ala :-

📌Chhipkali ya girgir ka khoon
najaasate galeez hai,

Mas,ala :-

📌Angoor ka shira kapde par
padha to agarche kai din guzar jaye
kapda paak hai,

Mas,ala :-

📌Hathi ke sund ki rutubat
aur shair, kutte, cheete aur dusre
darinde choupya ka luaab (thook)
najaasate galeeza hai,

Mas,ala :-

📌Jis jaanwar ka gosht halaal
hai jaise Gaay, Bhains, Bail, Bakri aur
Uont wagairah unka peshab aur
ghode ka peshab aur jis parinde ka
gosht haraam hai chahe shikari hon
ya nahi jaise kawwa, cheel, shikara,
baaz, aur bahri uski beet najaasate
khafeefa hai,

Mas,ala :-

📌Jo parind halaal unche udte
hain jaise kabootar, maina, murgabi
aur qaaz unki beet paak hai,

Mas,ala :-

📌Har choupaye ki jugaali ka
wahi hukm hai jo uske pakhane ka
hai,

Mas,ala :-

📌Har jaanwar ke pitte ka
wahi hukm hai jo uske peshab ka hai,
haraam jaanwaron ka pitta najaasate
galeeza aur halaal jaanwaron ka
najaasate khafeefa hai, 

Mas,ala :-

📌Agar najaasate galeeza khafeefa se mil jaye to kul galeeza hai,

Mas,ala :-

📌Machli aur pani ke dusre jaanwaron aur khatmal aur machchhar ka khoon aur gadhe ka
luaab aur paseena paak hai,

Mas,ala :-

📌Peshab ki nihaayat bareek chhinte sui ke nok ke barabar ki
badan ya kapde par padh
jayein to kapda aur badan
paak rahega,

Mas,ala :-

📌Jis kapde par aisi hi peshab ki bareek chhinte padh gai agar woh kapda pani me padh gaya to pani bhi napaak na hoga, 

Mas,ala :-

📌Jo khoon zakhm se baha na ho woh paak hai, 

Mas,ala :-

📌Gosht, tilli aur kaleji me jo khoon baqi rah gaya paak hai aur agar yeh cheez bahte hue khoon me sann jaye to napaak hai, bagair dhoye paak na hogi. 

📚(Bahare shariat/Hissa 2, page 112)

Mas,ala :-

📌Jo Bachcha paida ho usko god me le kar Namaaz padhi Agarche usko Gusl de liya ho Namaaz na hogi aur agar zinda paida ho kar mar gaya aur be-Nahlaaye God me le kar Namaaz padhi jab bhi nahi hogi, 

📌Haan Agar Usko Gusl de kar god me liya tha to ho jayegi magar mustahab ke khilaaf hai, 

📌Yeh baatein us waqt hai ki Musalmaan ka Bachcha ho aur Kafir ka Murda Bachcha hai to kisi haal me Namaaz na hogi  gusl diya ho ya na diya ho, 

Mas,ala :-

📌Agar Namaaz padhi aur jeb Wagairah me shishi hai aur usme peshan ya khoon ya sharab hai to Namaaz na hogi aur jeb me anda hai aur uski zardi khoon ho chuki hai to Namaaz ho jayegi, 

Mas,ala :-

📌Rooi ka kapda Udheda gaya aur uske andar chuha sukha hua mila to agar usme suraakh hai to 3 din raaton ko namaaz loutaye aur na ho to jitni Namaazein us se padhi hain sab ko loutaye, 

Mas,ala :-

📌Kisi kapde ya badan par chand jagah Najaasate galeeza lagi aur kisi jagah dirham ke barabar nahi magar sabko mila kar dirham ke barabar hai to dirham ke barabar samajhi jayegi aur zyada hai to zyada aur najaasate khafeefa me bhi majmua'a (kul) par hi hukm hai..

Mas,ala :-

📌Haraam Jaanwar ka Doodh najis hai albatta ghodi ka doodh paak hai magar khana jaiz nahi, 

📌Chuhe ki Mengni genhoo me pis gai ya tel me padh gai to aata aur tel paak hai aur haan agar maze me farq aa jaye to najis hai aur roti ke andar mili to uske aas paas se thodi si alag kar dein baqi me harz nahi, 

Mas,ala :-

📌Resham ke kide ki beet aur uska pani paak hai. 

📚(Bahare Shariyat/Hissa 2, page 112)

Mas,ala :-

📌Napaak kapde me paak kapda ya Paak Kapde me napaak kapda lapeta aur us napaak kapde se yeh paak kapda nam ho gaya to napaak na hoga basharte ki Najaasat ka Rang aur Boo us paak kapde me zahir na ho warna Nam hone se bhi napaak ho jayega, 

📌Haan Agar Bheeg jaye to napaak ho jayega aur yeh usi soorat me hai ki woh napaak kapda pani se tar hua ho aur agar peshab ya sharab se taree usme hai to paak kapda nam ho jane se bhi napaak ho jayega aur agar napaak kapda sukha tha aur paak tarr tha aur us paak kapde ki taree se napaak kapda tar ho gaya aur us napaak ki itni taree lagi ki us se chhut kar us paak ko lagi to yeh napaak ho gaya warna nahi,

Mas,ala :-

📌Bheege hue pani Najis zameen ya Bichhoune par rakhe to napaak na honge agarche paao,n ki taree ka us par dhabba maloom ho, 

📌Haan Agar us Zameen ya Bichhoune ko itni taree pahunchi ki uski taree paao,n ko lagi to paao,n Najis ho jayenge, 

Mas,ala :-

📌Bheegi hui Napaak Zameen ya Najis ya Bichhoune par sukhehue paao,n rakhe aur paao,n me taree aa gai to najis ho gaye ar seel hai to nahi, 

Mas,ala :-

📌Jis jagah ko Gobar se lesaa aur woh sukh gai to Bheega kapda us par Rakhne se Najis na hoga jab tak ki Taree use itni na pahunche ki us se chhut kar kapde ko lage, 

Mas,ala:-

📌Najis kapda pahan kar ya najis bichhoune par soya aur paseena aaya aur paseene se kapde ki woh napaak jagah bheeg gai fir us se badan tar ho gaya to napaak ho gaya warna nahi, 
Mas,ala :- napaak cheez par hawaa ho kar guzri aur badan ya kapde ko lagi to napaak na hoga, 

Mas,ala :-

📌Miyaani tar thi aur hawaa nikali to kapda najis na hoga, 

Mas,ala :-

📌Napaak Cheez ka dhuaa,n kapde ya badan ko lage to napaak nahi aise hi napaak cheez ko jalaane se jo dhuaa,n uthe unse bhi najis na hoga agarche unke kapde bheeg jaye 
haan agar najaasat ka asar usme zahit ho to najis ho jayega. 

📚(Bahare shariat /Hissa 2, page 113-114)

Mas,ala :-

📌Koi najis cheez Dah-dar-dah pani me fenki aur us fenke ki wajah se pani ki chhinte kapde par padi to kapda napaak na hoga,

📌Haan agar Maloom ho ki yeh chhinte us najis ki hain to is soorat me najis ho jayega,

Mas,ala :-

📌Agar pakhane par makkhiyaan udh kar kapde par baithi to kapda najis na hoga, 

Mas,ala :-

📌Raste ka kichadh paak hai jab tak uska najis hona na maloom to agar paao,n ya kapde me lagi aur be-dhoye padh li to ho gai magar dho lena behtar hai,

Mas,ala :-

📌Sadak par Pani Chhirhka jaa raha tha aur zameen se chhinte udh kar kapde par padhi to kapda najis na hua magar dho lena behtar hai, 

Mas,ala :-

📌Aadmi ki khaal Agarche nakhoon barabar thode pani (yani dah-dar-dar se kam) pad jaye to woh pani napaak ho gaya aur khud gir jaye napaak nahi,

Mas,ala :-

📌Peshab pakhane ke baad dhele se Istinjaa kar liya fir us jagah se paseena nikal kar kapde ya badan par laga to badan aur kapde napaak na honge,

Mas,ala :-

📌Agar paak mitti me napaak pani milaya to najis ho gai, 

Mas,ala :-

📌Agar paak Mitti me Napaak bhusa milaya to agar thoda ho to paak hai aur jo zyada ho jab tak sukh na jaye napaak hai, 

Mas,ala :-

📌Kutta badan ya kapde se chhoo na jaye to agarche uska jism tar ho badan aur kapda paak hai haan agar uske badan par najaasat lagi ho to aur baat hai aur agar uska luaab (thook) lage napaak kar dega, 

Mas,ala :-

📌Kutta wagaira kisi aise jaanwar ne jiska luaab napaak hai aate me muh daala to agar aata gondha hua tha to jahan tak uska muh pada usko alag kar dein aur baqi paak hai aur sukha ho to jitna tar ho gaya use fenk dein, 

Mas,ala :-

📌Istemaal kiya hua pani paak hai aur Nousdaar bhi paak hai, 

Mas,ala :-

📌Suwar ke Alawa tamaam jaanwar ki haddi jis par murdaar ki chiknaai na lagi ho paak aur uske baal aur daant bhi paak hain, 

Mas,ala :-

📌Aurat ke peshab ki jagah se jo ratoobat nikale paak hai, 
agar kapde ya badan me lage to dhona zaroori nahi
haan behtar hai, 

Mas,ala :- jo gosht sadd gaya aur usme se badboo paida ho gai uska khana haraam hai agarche najis nahi. 

📚(Bahare shariat /Hissa 2, page 114-115)

NAJIS CHEEZON KO PAAK KARNE KA TAREEQA 

📌Jo cheezein Aisi hain ki woh khud najis hain jinko Napaaki ya Najaasat kahte hain jaise sharab ya galeez cheez, 

📌Aisi Cheezein jab tak apne asl ko chhiorh kar kuch aur na ho jayein paak nahi ho sakti, 

📌Sharaab jab tak sharab hai Najis hi rahegi aur sirka ho jaye to ab paak hai, 

Mas ,ala :-

📌Jis bartan me shraab thi aur shirkaa ho gai to woh bartan bhi Andar se utna paak ho gaya jahan tak us waqt sirkaa hai, 

📌Agar bartan ke muh par sharab ki chhinte padi thi aur woh sukh gai to woh chhinton wali jagah sharab ke sirka hone se paak na hogi, 

📌Yuin hi Agar sharab muh tak bhari thi fir kuch gir gai ki bartan thodi khaali ho gaya, Uske baad sirka hui to yeh bartan ke upar ka hissa jo pahle napaak ho chuka tha paak na hoga, 

📌Agar sirka us se uledhaa jaye to woh sirka bhi napaak ho jayega q ki bartan ke upar ka hissa napaak hai, 

📌Hasn agar chamcha Wagairah se nikal liya jaye to paak hai aur agar pyaaj lahsoon sharaab me padh jaye to sirka hone ke baad paak ho gaye, 

Mas,ala :-

📌Sharaab me chuha gir kar fool fatt gaya to sirka hone ke baad bhi paak na hoga aur agar foola fata nahi tha to agar sirka hone se pahle nikaal kar fenk diya uske baad sirka hui to paak hai aur agar sirka hone ke baad nikaal kar fenka to sirka bhi napaak hai, 

Mas,ala :-

📌Sharaab me peshab ka qatra gir gaya ya kutte ne muh daal diya ya napaak sirka mila diya to sirka hone ke baad bhi haraam aur najis hai. 

📚(Bahare shariat /Hissa 2, 116)

Mas,ala :-

📌Musalmaan ke liye sharab ka khareedna,
Mangna,
Uthana ya rakhna haraam hai Agarche Sirke rakhne ki niyat se ho, 

Mas,ala :-

📌Najis jaabwar namak ki khaan me gir kar namak ho gaya to woh namak paak aur halaal hai, 

Mas,ala :-

📌Uple ki Raakh paak hai aur agar raakh hone se pahle bujh gaya to napaak hai, 

Mas,ala :-

📌Jo cheezein zaati tour par najis nahi balki kisi najaasat ke lagne se napaak hui uske paak karne ke mukhtaleef tareeqe hain, 

📌Pani aur har bahne wali cheez se (jis se najaasat door ho jaye) dho kar najis cheez paak kar sakte hain jaise sirka gulaab ki unse Najaasat door kar sakte hain to kapda ya badan un se dho kar paak kar sakte hain, 

FAAIDA :- 

📌Bagair zaroorat gulaab wa sirke wagaira se paak karna najaaiz hai is liye ki fuzool kharchi he.

Mas,ala :-

📌Istemaal kiya hua pani ya chaay (tea) se dhoye to paak ho jayega, 

Mas,ala :-

📌Thook se agar najaasat door ho jaye to paak ho jayega jaise bachche ne doodh pee kar pistan par qaiy ki fir kai baar doodh piya yahan tak ki uska asar jata raha to paak ho gaya, 

Mas,ala :-

📌Doodh,
Shorba Aur Tel se dhone se paak na hoga ki unse najaasat door na hogi, 

Mas,ala :-

📌Najaasat Agar Daldaar ho (Jaise Pakhana, Gobar aur khoon wagaira) to dhone me gitni ki koi shart nahi balki usko door karna zaroori hai tab paak hoga to agar ek baar dhone se napaaki door ho jayega to ek hi martaba dhone se paak ho jayega aur agar 4-5 baar dhone se paak hoga to 4-5 baar dhona padega 
haan agar 3 martaba se kam dhone se najaasat door ho jaye to 3 baar pura kar lena mustahab hai, 

Mas,ala :-

📌Agar Najaasat door ho gai magar kuch asar Rang ya boo baqi hai to use bhi door karna zaroori hai, 

📌Haan Agar uska asar mushkil se jaye to asar door karne ki zaroorat nahi 
3 baar do liya paak ho gaya, saabun khataai ya garm pani se dhone ki zaroorat nahi. 

📚(Bahare shariat /Hissa 2, page 116-117)

Mas,ala :-

📌Kapde ya hath me najis rang laga ya Napaak Mehendi lagaai to itni baar dhoye ki saaf pani girne lage to paak ho jayega agarche kadpe par rang baqi ho, 

Mas,ala :-

📌Zaafran ya Rang kapde Rangne ke liye ghola tha usme kisi bachche ne peshab kar diya ya aur koi najaasat pad gai to us rang se kapda rang liya to 3 baar kapda dho le paak ho jayega,

Mas,ala :-

📌Godna ki sui chubho kar us jagah surma bhar dete hain to khoon itna nikalta hai ki bahne ke Qaabil ho to zahir hai ki woh khoon napaak hai aur surma jo us par dala gaya woh bhi napaak ho gaya fir us jagah ko dho dale paak ho jaayegi agarche napaak surme ka rang bhi baqi rahe yuin hi zakhm me raakh bhar di fir dho le to paak ho gaya agarche rang baqi ho,

Mas,ala :-

📌Kapde ya badan me napaak tel laga tha to 3 baar dho lene se paak ho jayega Agarche tel ki chiknaai moujood ho is takalluf ki zaroorat nahi ki saabun ya garm pani se dhoye lekin agar murdaar ki charbi lagi hi to jab tal uski chiknaai na jaye paak na hoga, 

Mas,ala :-

📌Agar Najaasat patli ho to 3 baar dhone aur 3 baar zor se nichorhne se paak hoga aur zor se nichorhne ka matlab yeh ki woh shakhs apni taaqat bhar is tarah nichorhe ki agar fir nichorhe to us se koi qatra na tapke agar kapde ka khayaal karke achi tarah nahi nichorha to paak na hoga, 

Mas,ala :-

📌Agar Dhone wale ne achi tarah nichorh liya magar abhi aisa hai ki koi dusra shakhs jo taaqat me us se zyada nichorhe to ek 2 boond tapak sakti hai to dhone wale ke haq me paak aur is dusre ke haq me napaak hai is dusre ki taaqat ka aitebaar nahi hai.

📌Haan Agar yeh dhota aur usi Qadr Nichorhta to paak na hota, 

Mas,ala :- 

📌Pehli aur dusri baar nichorhne ke baad hath paak kar lena zaroori hai aur jo kapde me itni taree rah gai ki nichorhne se ek aadh boond tapakegi to kapda aur hath 2no napaak hain. 

📚(Bahare shariat /Hissa 2, page 117)
Mas,ala :-

📌Pahli ya dusri baar hath paak nahi kiya aur uske taree se kapde ka paak hissa bheeg gaya to yeh bhi napaak ho gaya fir agar pahli baar nichorhne ke baad bheega hai to use 2 baar dhona zaroori hai aur dusri baar hath ki taree se bheega to ek baar dhoya jaye, 

📌Yuin hi agar us kapde se jo ek baar dho kar nichorh liya gaya hai koi paak kapda bheeg jaye to yeh dusra kapda 2 baar dhoya jaye aur agar dusri baar nichorhne ke baad us se yeh kapda bheega to ek baar dhone se paak ho jayega, 

Mas,ala :-

📌Kapde ko 3 baar dho kar har baar khub nichorh liya hai ki ab na tapakega fir latka diya aur us se pani tapka to yeh pani paak hai aur agar khub nahi nichrha tha to yeh pani napaak hai, 

Mas,ala :-

📌Doodh peete ladke aur ladki ka ek hi hukm hai ki unka peshab kapde ya badan par laga hai to 3 baar dhona aur nichorhna padega, 

Mas,ala :-

📌Jo cheez Nichorhne ke qaabil nahi hai (jaise chataai, bartan aur joota wagaira) usko dho kar chhhorh de ki pani tapakna ruk jaye 
yuin hi 2 martaba aur dhoye, 
3sri martaba jab pani tapakna band ho gaya to woh cheez paak ho gai, 

📌Use har baar dho kar sukhana zaroori nahi, 
yuin hi jo kapda nazuk hone ki wajah se nichorhne ke qaabil nahi use bhi aise hi paak kiya jaye, 

Mas,ala :-

📌Agar aisi cheez ho ki usme najaasat zajb na hui jaise chini ke bartan ya mitti ka puraana istemaali chikna bartan ya lohe taanbe peetal wagaira ki cheezein to use sirf 3 baar dho lena kaafi hai iski bhi zaroorat nahi ki use itni der chhorh de ki pani tapakna ruk jayein, 

Mas,ala :-

📌Naapaak bartan ko mitti se maanjh lena behtar hai, 

Mas,ala :-

📌Pakaya hua chamrha agar napaak ho gaya to agar use nichorh sakta hai to nichorh de 
nahi ti 3 baar dhoye aur har baar itni der chhorh de ki pani tapakna band ho jaye. 

📚(Bahare shariat /Hissa 2, 118-119)

Mas,ala :-

📌Aaina aur shishe ki tamaam cheezein aur chini ke bartan ya mitti ke rogani bartan ya polish ki hui lakdi garaz ki woh tamaam cheezein jinme suraakh na hon kapde ya patte se is qadr ponchh li jayein ki najaasatka asar bilkul jata rahe to paak ho jati hai, 

Mas,ala :-

📌Manee agar kapde me lag kar sukh jaye to sirf mal kar jhadhne aur saaf karne se kapda paak ho jayega agarche uska kuch asar kapde me baqi rah jaye is mas,ale me AuraT, Mard, Insan, Haiwaan, Tandrust aur jiryaan ke mareez sab ki manee ka ek hi hukm hai, 

Mas,ala :-

📌Badan me agar manee lag jaye to bhi isi tarah paak ho jayega,

Mas,ala :-

📌Agar peshab karke pani ya dhele se tahaarat na ki aur manee us jagah par guzri jahan peshab laga hua hai to yeh malne se paak na hogi balki dhona zaroori hai aur agar tahaarat kar chuka tha ya manee jast karke yani kood kar nikali ki us najaasat ki jagah par na guzari tto malne se paak ho jayegi, 

Mas,ala :-

📌Jis Kapde ko mal kar paak kar liya agar woh pani se bheeg jaye to napaak na hoga, 

Mas,ala :-

📌Agar manee kapde me lagi hai aur ab tak tarr hai to dhone se paak hoga malna kaafi nahi 
yani jab manee sukh jaye to mal kar paak kar sakte hain aur tarr hone ki haalat me kapda ya badan paak karna hai to dhona zaroori hai.

Mas,ala :-

📌Chamrhe ya moze ya joote me daldaar najaasat lagi jaise pakhana gobar ya manee to agarche woh najaasat tarr ho khurachne ya ragadhne se paak ho jayega, 

Mas,ala :-

📌Aur peshab ki tarah koi patli najaasat chamrhe wale joote ya chamrhe wale moze me lagi ho aur us par mitti ya retaa ya raakh daal kar ragadh daalein jab bhi paak ho jayegi aur agar aisa na kiya yahan tak ki najaasat sukh gai to ab be-dhoye paak na hogi, 


📚(Bahare shariat /Hissa 2, page 121-122)

Mas,ala :- 

📌Agar napaak zameen sukh jaye aur najaasat ka asar yani rang aur boo jati rahe to paak ho jayegi chaahe woh hawaa se sukhi ho ya dhoop ya aag se magar us se tayammum karna jaiz nahi albatta us par namaaz padh sakte hain, 

Mas,ala :-

📌Jis kuwe,n me pani napaak ho aur woh kuwaa,n sukh jaye to paak ho jayega, 

Mas,ala :-

📌Ped, Poudhe, Ghaas, Deewaar aur aisi eet jo zameen me jarhi ho sukhne ke baad paak ho jati hain, 

📌Isi tarah Napaak darakht ya napaak ghaas sukhne se pahle kaat li to paak karne ke liye dhona zaroori nahi hai, 

Mas,ala :-

📌Agar patthar aisa ho ki zameen se judaa na ho sake to khushk (sukha) hone se paak hai nahi to dhone ki zaroorat nahi hai, 

Mas,ala :-

📌Chakki ka patthar sukh jane se paak ho jayega, 

Mas,ala :-

📌Kankari jo zameen ke upar hai sukhne se paak na hogi 
aur jo zameen me chipki hui ho woh zameen ke hukm me hai. 

📚(Bahare shariat /Hissa 2, page 122)

Mas,ala :-

📌Jo cheez zameen se lagi hui thi Aur najis ho gai fir sukhne ke baad alag ki gai to ab paak hi hai, 
Mas,ala :-

📌Agar kisi ne napaak mitti se bartan banaye to jab tak kachche hain napaak hain lekin pakaane ke baad paak ho jayenge, 

Mas,ala :-

📌Tandoor ya Tawe par napaak pani ka chhinta daala aur aanch se uski taree jati rahi ab usme jo roti pakaai paak hai, 

Mas,ala :-

📌Uple jalaa kar khana pakane ko log makrooh kahte hain magar aisa nahi hai balki uple jalaa kar khana pakana jaaiz hai, 

📌Jo cheez sukhne ya rag adhne se paak ho gai uske baad bheeg gai to napaakna hogi. 

📚(Bahare shariat /Hissa 2, 122-123)

Mas,ala :-

📌Darinde ki khaal agarche paka li gai ho, 
Na to us par baithna chahiye aue na us par namaaz padhna chahiye q ki is se mizaaz me sakhti aur guroor paida hota hai, 
📌Bakri aur mende ki khaal par baitne aur pahan ne se mizaaz me narmi aur aazizee paida hoti hai, 

📌Kutte ki khaal agarche (chahe) paka li gai ho ya zabah kar liya gaya ho istimaal me nahi lana chahiye ki imaamon ka is me ikhtilaaf aur logon ko nafrat hai is liye is se bachna hi thik hai, 

Mas,ala :-

📌Rooi ka agar itna hissa najis hai ki us ke dhunne se udh jane ka sahi guman ho to rooi dhunne se paak ho jayegi nahi to bina dhoye paak na hogi, 

📌Haan agar yeh pata na ho ki rooi kitni najis hai to bhi dhunne se paak ho jayegi, 

Mas,ala :-

📌Galla jab pair me ho aur us ko nikalte waqt belo ne us par peshab kiya to agar galla chand shareekon me taqseem hua ya us me se mazdoori di gai ya khairat ki to sab paak ho gaya aur galla sab ka sab usi tarah moujood hai to napaak hai agar us me se is qadr dho kar paak kar lein ki jisme yeh ehtemaal (shak) ho sake ki is se zyada najis na hoga to sab paak ho jayega, 

Mas,ala :-

📌Raanga aur sheesha pighalne se paak ho jata hai, 

Mas,ala :-

📌Jame hue Ghee me chuha gir kar mar gaya to chuhe ke aas paas ka ghee nikaal daalein baqi sab paak hai use khaa sakte hain aur agar patla hai to sab napaak ho gaya uska khana jaaiz nahi albatta use aise kaam me la sakte hain ki jisme najis cheez ka istemaal manaa na hon aur tel ka bhi yehi hukm hai. 

📚( Bahare shariat )

⚪"ISTINJE KA BAYAN"⚪


🔶ISTINJE (Pakhana/Peshab) Ko Jate Waqt Har Musalman Ko Chahiye Ki Sunnat Ke Mutabiq Apni Hajat Se Faragat Paye....

🔷Islam Jo Kamil aur Qayamat Tak Rehne wala Mazhab Hai Usne Hame Zindagi Ke Har Shobe Me Rehnumai Farmai Hai.....

✅Hadees......

🔷Huzoor علیہ السلام Jab Qazae Hajat Ka irada Farmate To Kapda Na Hatate Jab Tak Zameen Se Qareeb Na Ho Jate...

📕{Jame Tirmizi, jild-1, page-92}

✅Hadees.....

🔶Huzoor Jab Qazae Hajat Ko Tashrif Le Jate To itni Door Jate Ke Koi Na Dekhta.....

📕{Sunane Abi Dawood, jild-1, page-35}

✅Hadees......

🔷2 Shakhs Pakhana Ko Jayen Aur Satar Khol Kar Baten Karen To Allha Unpe Gazab Farmata Hai.....

📕{Abu dawood, jild-1, page-40}

✅Hadees.....

🔶3 chizen Jisse Lanat Hoti Hai, unse Bacho....
Ghat Pe Aur Beech Raste Me Aur Darakht Ke Saye Me Peshab Karna.....

📕{Abu dawood, jild-1, page-43}

                MASAIL.   


🔸Jab Pakhana Ya Peshab Ko Jaye To Pehle Ye Dua Padh Le...

Bismillahi Allahumma Inni Aauzu Bika Minal Khubusi Wal Khaba'is"....

🔹Phir Ulta Qadam Pehle Daale Aur Nikalte WAQT Sidha Qadam Pehle Nikale......

🔸Aur Nikalne Ke Bad Ye Dua Padhe....

"Gufranaka Alhamdulillahil Lazi Azhaba Anni Maa Yuzeeni Wa Amasaka Alaiyya Ma Yanfa'uni"

🔷Dono Dua Arbi Me Hai...
Kisi aalim se Sahi Karwa Len. Plz.

✅Mas'ala:....

🔶Pakhana Peshab Ke Phirte Waqt Chahe Makan Me Ho Ya Jangal Me Muh Aur Peeth Qibla Rukh Na Ho Agar Bhool Kar Baitha Tha To Yaad Aate Hi Faoran Rukh Mood Le .....

📕{Durre Mukhtar, jild-1, page-608}

✅Mas'ala:-

🔷Bachche Ka Muh Qibla Rukh Kar Ke Pakhana Peshab Phirane Wala GunehGar Hoga.....

📗{Bahare-e-Shariat Hissa-2, Page-408}

✅Mas'ala:-

🔶Peshab Pakhana Karte WAQT Chand Aur Suraj Ki Taraf Na Muh Ho Na Peeth (jab khule maidan me ho) isi Tarah Hawa Ke Rukh Peshab Karna Mana Hai....

📗{Bahare Shariyat Hisaa-2, Page-409}

✅Mas'ala:-

🔷Kuwen Ya Hauz Ya Chashma Ke Kinare Ya Behte Paani Me Ya Ghaat Pe Ya Phaldar Darakht Ke Niche Ya Us Khet Me Jisme Fasal Ho Ya Jahan Log Uthte Baithte Hon Ya Masjid Ya Eidgah Ke Bagal Me Qabrastan Ya Raste Me Ya Jis Jaga Maweshi (Paltu Janwar) Bandhe Hon Un Sab Jagho Par Pakhana Ya Peshab Karna Makrooh Hai isi Tarah Jahan Gusl Ya Wazu Hota Ho Wahan Peshab Karna Makrooh Hai

📕{FATAWA HINDIYAH Jild-1, page-50}

✅Mas'ala:-

🔶Aisi Sakht Zameen Pe Peshab Karna Jisse Cheeten Ud Kar Aayen mana Hai,
Aisi jagah Ko Kured Kar Narm Kare Ya Zara Sa Garha Khod Le.....

📕{Alamgiri Jild-1, page-50}

✅Mas'ala:-

🔷Khade Ho Kar Ya Pura Nanga Ho Kar Peshab Karna Makrooh Hai, 
Neez Nange Sar Peshab Pakhana Ko Jana Aur Saath Me Aisi Chiz Rakhna Jis Pe Dua Ya Allah O Rasool Ka Naam Ho Ya Kis Buzrug Ka Naam Likha Ho Mana Hai, Aur Baten Karna Makrooh Hai....

📗{Bahare-e-Shariat Hissa-2, page-409}

🔶Pyare Sunni Jannati Bhaiyon In Tamam Masayel Ko Gaur Se Padhe Bar Bar Padhe Taki Aapki ibadat Masnoon Tariqe Par Ada Ho........

🔷Dekhiye Hamari Namaz Sahi Tab Hogi Jab wazu Sahi Hoga Wazu sahi Tab Hoga jab hamara Gusl Sunnat Ke Mutabiq Hoga...

🔶Hum Me Aksar Logo Ko Alhamdulillah Wazu Gusl Namaz Ka Mukammal Tariqa To Malum Hai Magar Jab Napak Chiz Badan Ya Kapde Par Lage To Kya Kapda Ya Badan Pura Napak hoga Ya Sirf utne hi hisse ko Dhone Se Wo Pak Hoga???

🔷Aur Wo Kaunsi Nijasat (Gandagi) Hai jiske Lagne Se Badan Ya Kapde Ke Us Hisse Ka Pak Karna Zaroori Hai Ye Bhi Pata Hona Chahiye........

🔶Dekhiye jis Tarah Namazi Ke Badan Ka Pak Hona Zaroori Hai usi Tarah Uske Kapde Aur us Jagah Ka Pak Hona Bhi Zaroori Hai jispe Namz Padh Raha Hai......

🔷Aaiye hum ise Tafseel Se Samajhte Hain.

Najasat 2 Tarah Ki Hai....


⛔Najasate GALEEZAH (sakht napak)

⛔Najasate Khafifah (kam Napak)

✅Mas'ala:-

🔷Jise Najasate Galizah Kehte Hain Uska Hukm Ye Hai Ki Agar Wo kapde Ya Badan Pe 1 Dirham Se Ziyadah Lage To Uska Paak Karna Zaroori Hai Bepak Kiye Uspe Namaz Hogi Hi Nahi...

🔶Agar Qasdan Padhi To Gunehgar Hua Aur Ba-Niyyate istekhfafa (Namaz Ko Halka Jaan kar) Padha To Kafir Hua.

🔷Aur agar Najasate Galiza 1 Dirham Ke Barabar Hai To Kapde Ya Bada Ko Pak Karna Wajib Hai....

🔶Aise surat me Namaz Padhi To Dhorana Wajib Hai....

🔷Agar Dirham Se Kam Lagi Hai To Aisi Surat Me Kapde Ya Badan Ka Pak Karna Sunnat Hai....

🔶Agar BePak Kiye Namaz Padha To Ho Gai Magar Sunnat Ke Khilaf Aisi Namaz Ka Dohrana Behtar Hai....

📓{بھارشریعت، حصہ/۲/صفحہ/۳۸۹}

✅Mas'ala:-

🔷Najasat Agar Garhi (MOTI) Hai Jaise Gobar Pakhana Ya Leed To Dirham Ke Wazan ka Aitebar Hoga.....

🔶Agar Patli Hai Jaise Aadmi Ka Peshab Sharab Mani Khoon wagera To Dirham Ki Lambai Chaodai ka Aitebar Hai....

🔷Dihram Ko Aise Samjhen...
Aap apni Hateli pe Paani Rakhen aur use Khoob Phailayen Jitna Paani Ruk Jaye Hateli pe Wo Dirham Hai....' 

✅Mas'ala:-

🔶Najasate Khafifa Ka Hukm Galiza Se Alag Hai...

🔷Najasate Khafifa Agar Kapde Ya Badan Ke Jis hisse Pe Lage Aur Chaothai Hisse Se Kam Lagi Hai To muaaf Hai Be Dhoye Namaz Ho Jaygi Agar Chaothai Ke Barabar Hai To Bina Dhule Namaz Nahi Hogi...

⚪Example...

🔷Agar Najasate Khafifah Pair Me Lage Haath Pe Lage Ya Aasteen Ya Kurte Ya Pajame Pe Lagi To Dekho Us Hisse Ke Chaothai Ke Barabar Hai Ya Kam ?

🔶Phir Jaisa Ho Masle Ke Mutabiq Amal Kare......

✅Mas'ala:-

🔷Insan Ke Badan Se Koi Aisi Chiz Nikle Jisse Wazu Ya Gusl Wajib Hota Ho To Use Najasate GALEEZAH Kehte Hain.....

✔Pakhana.

✔Peshab.

✔Behta Khoon.

✔Peep.

✔Muh Bhar Qay (ulti)

✔Haiz O Nifas Aur Khune

 ✔Istehaza.

✔Mani.

✔Mazi.

✔Wadi.
Ye Sab Najasate Galizah Hai

📚{الفتاوٰی الھندیة، كتاب الطهارة، الباب السابع في نجاسةوأحكامها، الفصل الثاني، جلد-۱، صفحہ-۴۶}

🔶Ye Saare Masle Masayel Puri Tafseel Ke Saath Bahare-e-Shariat Me Maujood Hai Magar awam Ise padhti nahi Ya Padhe To Bahot Se Alfaaz Aise Hain Jise Log Nahi Samajh Paate..

🔷Is liye plz ye Bunyadi Aur Zaroori Baten Kisi Mustanad Sunni Aalime Deen Se Sikhe aur Ye ILM Har Musalman Mard Aurar Pe Sikhna Farz Hai......

PAANI KA BAYAN...


ALLAH T'ALA farmata hai..

✅Tarjama :- 

🚿Aasman se humne paak
karne wala pani utara,
Aur farmata hai :-

✅Tarjuma :-

🚿Aasman se tum par pani
utaarta hai ki tumhe usse paak kare aur
shaitan ki paleedi tum se door kare.

✅HADEES :- 

🚿IMAAME MUSLIM ne
HAZRATE ABOO HURAIRA
RADIYALLAH
T'ALA ANHU se riwayat ki,
ki RASOOLULLAH
SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI
WASALLAM
Farmate hain ki tum me se koi shakhs janaabat ki haalat me Rooke hue pani
me na nahaaye 
( yani thode pani me jo
dah dar dah na ho is liye ki dah dar dah
bahte pani ke hukm me hai) logon ne kaha to ai 
ABOO HURAIRAH ! Kaise kare 
kaha usme se le le. 

📚(Bahare shariat)

✅HADEES :- 

🚿IMAAME MALIK WA ABOO DAAUD aur TIRMIZI ABOO HURAIRA RADHIYALLAHU T'ALA ANHU se riwayat karte hain ki ek shakhs ne HUZOOR SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM se poochha ki hum dariya ka safar karte hain aur apne sath thoda sa pani le kar jate hain to Agar Usse Wuzoo karein to pyaase Rah jayenge to kya samundar ke pani se hum wuzoo karein ? 

🚿AAP ne farmaya Uska Pani Paak hai Aur uska mara hua jaanwar halaal hai yani machhli. 

📚(Bahare shariat.)

✅Mas,ala :- 

🚿Agar pani me koi aisi cheez  Nikli jisse rang ya boo ya maze me farq aa gaya magar uska patlaapan na gaya jaise retaa choona yaa thoda zaafran to wuzoo jaiz hai aur jo zaafran ka rang itna aa gaya ki kapda rangne ke qaabil ho jaye to wuzoo jaiz nhi  yuin hi purhiya ke rang ka hukm hai aur agar itna doodh mil ki doodh ka rang gaalib (zyada) na hua to Wuzoo jaiz hai,
Warna nahi, 

🚿Gaalib Magloob ki pahchan yeh hai ki jab tak yeh kahe ki pani hai jisme kuch doodh mil gaya to wuzoo jaiz hai aur jab usse lassi kahein to wuzoo najaiz aur agar patte girne ya puraane hone ki wajah se rang badle to harz nhi lekin agar patto se pani gadhaa ho gaya to us pani se wuzoo jaiz nhi. 

✅HADEES :- 

🚿Sunne ABOO DAAUD WA TIRMIZI aur IBNE MAAJA me HAKAM IBNE AMR RADHIYALLAHU T'ALA ANHU se riwayat hai ki 
HUZOOR E AKRAM SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM ne is baat se mana farmaya ki aurat ke Tahaarat se Bache hue pani se mard wuzoo na kare. 

📚(Bahare shariat)

✅HADEES :- 

🚿AMEERUL MOMINEEN HAZRATE FAROOQE AAZAM RADHIYALLAHU T'ALA ANHU ne Farmaya ki Dhoop se Garm pani se gusl na karo ki woh bars (safed daag) paida karta hai. 

📚(Bahare shariat)

☑KIS PANI SE WUZOO JAIZ HAI AUR KIS SE NHI :- 


✅Mas,ala :-

🚿Jis pani se wuzoo jaiz hai us se Gusl bhi jaiz aur jisse Wuzoo najaiz usse gusl bhi najaiz hai, 

✅Mas,ala :- 

Menh,
Nadee,
Naale, Samundar,
Dariya,
Kuyein,
Barf
Aur 
Aole ke pani se wuzoo jaiz hai, 
(Naale se Muraad woh naala jisme najees na pahta ho balki saaf pani) 

✅Mas,ala :-

🚿Jis pani me koi cheez mil gai ki bol chaal me use pani na kahein balki uska koi aur naam ho gaya jaise sharbat ya pani me koi aisi cheez daal kar pakaayein jisse maqsad meik katna na ho jaise shorba, chaay,
Gulaab ya aur ark usse wuzoo aur gusl jaiz nhi. 

📚(Bahare shariat)

✅Mas,ala :-

🚿Bahte Pani ki usme tinka daal dein to bahaa le jaye woh pani paak aur paak karne wala hai,

🚿Najaasat padhne se napaak na hoga jab tak ki us najaasat se pani ka Rang,
Boo aur mazaa na badle aur agar najees se Rang,
Boo aur Mazaa badal jaye to pani napaak ho jayega,

🚿Ab us waqt pani paak hoga ki najaasat neeche baith kar uske ausaaf thik ho jayein ya paak pani itna mil jaye ki najaasat ko baha le jayein ya pani ke 
Rang,
Boo aur 
Mazaa thik ho jaye aur agar paak cheez ne
Rang,
Boo aur 
Mazaa ko badal diya to usse wuzoo karna aur nahana jaiz hai jab tak dusri cheez na ho jaye.

 (Yani kuch aur naam ho jaye jaise sharbat) 

✅Mas,ala :-

🚿Naali ka pani ki barish ke baad thahar gaya agar usme najaasat ke tukde maloom hon ya rang aur boo ka pata chale to napaak warna paak hai. 

📚(Bahare shariat)

✅Mas,ala :-

🚿Aise hi Naaliyon se Barsaat ka Bahta pani paak hai jab tak Najaasat ka Rang,
Boo aur Mazaa usme zahir na ho raha usse wuzoo karna agar us pani me dikhaai padhne wale najaasat ke zarre aise bahte ja rahe ho ki jo chullu me liya jayega usme ek aadh zarra najaasat ka bhi zaroor hoga tab to hath me lete hi napaak ho gaya, 

🚿Usse wuzoo haraam hai warna jaiz hai aur bachna behtar hai.

📚(Bahare shariat)

✅Mas,ala :-

🚿Murda jaanwar nahar ki chourhaai me padha ho aur uske upar se pani bahta hai aur jo pani usse mil kar bahta hai usse kam ho,

🚿Jo Uske upar se bahta ya zyada ho ya barabar har jagah se wuzoo jaiz hai yahan tak ki najaasat ki jagah se bhi jab tak ki najaasat ki wajah se pani ke kisi wasf me tabdeeli na aaye. 

✅Mas,ala :-

🚿Chhat ke parnaale se pani gire woh paak hai agarche us par jagah jagah najaasat padhi ho agarche najaasat parnaale ke muh par ho agarche najaasat se mil kar jo pani girta ho woh aadhe se kam ya barabar ya zyada ho jab tak najaasat se pani ke kisi haalat me tabdeeli na aaye, 

🚿Yehi sahi hai aur agar meh (barish) ruk gaya aur pani ka bahna khatm ho gaya to ab thahra hua pani aur jo chhat se tapke najees hai. 

✅Mas,ala :-

🚿Agar khushk (sukhe) talaab me najaasat padhi ho aur menh barsha aur usme bahta hua paak pani is qadr aaya ki bahaaw rukne se pahle dah-dar-dah ho gaya to woh pani paak hai aur agar us menh se dah-dar-dah se kam raha aur dobara barish se dah-dar-dar hua to sab najis hai, 

🚿Haan Agar woh Bhar kar bah jaye to paak ho gaya agarche hath 2 hath baha ho. 

📚(Bahare shariat)

✅Mas,ala :-

🚿Taalaab ya badha houj upar se jam gaya magar barf ke neeche pani ki lambaai chouraai (100 hath) muttasil dah-dar-dah ke miqdaar hai aur suraakh kar ke us se wuzoo jaiz hai agarche usme najaasat padh jaye aur agar muttasil dah-dar-dah nhi aur usme najaasat padhi to napaak hai, 

🚿Fir agar najaasat padhne se pahle usme suraakh kar diya
aur usse pani ubal padha to dah-dar-dah ke miqdar feil gaya to ab najaasat padhne se bhi paak rahega aur usme dal ka wohi hukm hai jo upar (peechhle post) guzar chuka. 

📚(Bahare shariat)

✅Mas,ala :-

🚿Badhe houj ke najis na hone ki yeh shart hai ki uska pani muttasil (mila hua) ho to aise houj me latth ya karhiyaan gaarhi gai hon to un karhiyon latthon ke alawa 100 hath hai to badha warna nhi yani latth wa karhiyon warairah ko pura me se ghata kar dekhna padhega, 

🚿Albatta patli patli cheezein jaise ghaas, narkool kheti ho to uske muttasil hone me farq na aayega, 

✅Mas,ala :-

🚿Badhe houj me aisi najaasat padhi ki dikhaai na de jaise sharab ya peshab to us houj ke har taraf se wuzoo jaiz hai aur agar dikhane me aati ho jaise pakhana ya mara hua jaanwar to jis taraf woh najaasat ho us taraf wuzoo na karna behtar hai dusri taraf wuzoo kare, 

✅TAMBEEH :-

🚿Jo najaasat dikhaai de use mar,iyyaa aur jo na dikhaai de use gair mar,iyya kahte hain.

🚿Aise houj par bahut se log jamaa ho kar wuzoo karein to bhi kuch harz nhi agarche wuzoo ka pani usme girta ho,
🚿Haan usme kulli daalna aur naak sinakna nhi chahiye ki paakizgee ke khilaaf hai. 

📚(Bahare shariat)

Wazu Namaz Ki Kunji Hai..


Wazu Ko TAHARATE SUGRA Kehte Hain..

Bagair Kamil Wazu Ke Namaz Na Hogi...

✅Pehle Wazu Ke Fazayel Quran O Hadees Se Padhen, Phir Wazu Ke Tamam Masayel.....

            🔷  QURAN. 🔷

🔶Aye iman Walo Jab Namaz Ko Khade Hona Chaho To Apna Muh Dho Aur Kohniyon Tak Hath.. 

🔷Aur Saron Ka Masah Karo... Aur Gatton Tak Paon Dhowo..

📚{Para-6, Ruku-6, Sure Maydah Ayat No-6}

✅HADEES:-

🔶Qayamat Ke Din Meri Ummat Is Haal Me Pukari Jayegi Ke Muh Aur Hath Paon Wazu Ke Aasaar Se Chamakte Honge To Jo Chahe Apni Chamak Ziyadah Kare (wazu ziyadah kare)

📚{صحیح البخاري، كتاب الوضوء، باب فضل الوضوء، جلد-۱، صفحہ-۷۱، حدیث-۱۳۶}

✅HADEES:-

🔷Jo Eik Eik Bar Wazu Kare (wazu Me Apne Aaza Ko 1-1 Bar Dhoye) To Ye Zaroori (farz) Hai Aur Jo 2-2 Bar Dhoye Uske Liye Doona Sawab Hai... 

🔶Aur Jo 3-3 Bar Dhoye Ye Mera Aur Pichle Ambiya Ka Wazu Hai.....

📚{Musnade imam Ahmad Bin Hambal, Jild-2, Page-417, Hadees No-5739}

✅HADEES:-

🔶Jo Shakhs Wazu Par Wazu Kare (wazu Hote Huye Bhi Taza wazu Kare) Uske Liye 10 Nekiyan Hain..

📚{جامع ترمذي، أبواب الطهارة، باب ماجاء أنه يصلي الصلوات بوضوء واحد، جلد-۱، صفحہ-۱۲۴، رقم الحدیث-۶۱}


🔷Wazu Me Char Chizen Farz Hai...


✔Muh Dhona.

✔Kohniyon Samet Hath Dhona.

✔Sar Ka Masah Karna.

✔Takhno Samet Paon Dhona..

🔶Badan Ke Jis Hisse ka Wazu Me Dhona Farz Hai Us Pe Kam Az Kam 2 Boond Pani Bah Jaye...

🔷Bheeg Jane Ya Tel (Oil) Ki Tarah Chapad Lene Se Ya 1 Aadh Boondh Bah Jane Ko Dhona Nahi Kahege Na Usse Wazu Ya Gusl Pura Hoga....

📚{FATAWA RAZVIYAH, BABUL WAZU, Volume-1, Page-218}

✅Mas'ala:-

🔷Hath me Challe Aur Anguthiyan Dhage Ya Kangan Ho To Unke Niche Pani Bahana Farz Hai Agar Hila Kar Pani Paohche To Theek Warna Utar Kar Pani Bahana Farz Hai...

📕{Fatawa Razviyah Jild-1, Page-216}

🔶Yad Rakhiye Jism Ka Jo Hissa Wazu Me Dhona Farz Hai Usme Khoob Mubalega Aur Ahtiyat Se Dhona Pani Paohchana Chahiye Taki Wazu Mukammal Ada Ho....

🔷Ab wazu Ki Sunnaten Padhe Aur Puri Koshish Kijiye Ke Sunnat Ke Mutabiq Wazu Ada Ho Taki Sawab Pura Pura Mile....

✅Sunnat:-

🔷Wazu Ki IBTEDA Bismillahi Se Kare..

✅Sunnat:-

🔶Pehle 3 Baar Hath Gatthon Tak Dhoye.

✅Sunnat:-

🔷Kam Se Kam 3-3 Martaba Danton Me Dayen Bayen Upar Niche Miswak Kare....

🔶Aur Har Martaba Miswak Ko Dho Le...
Aur Miswak Na Bahot Narm Ho Na Bahot Sakht....

🔷Miswak Peelu Ya Zaitoon Ya Neem Ki Kadwi Lakdi Ka ho..

🔶Miswak Ki size. 
Choti Ungli Ke Barbar Moti Aur 1 Balisht Lambi Ho Isse Zaiyadah Lambi Na Ho...

🔷Chunki Hadees Me Allah Ke Pyare Mahboob Sal'lallahu Alaihi wasallam Ka Ye irshad Maujood Hai....

🔶2 Rakat Namaz Jo Miswak Kar Ke Padhi Gai Be Miswak Ki 70 Rakaton se Afzal Hai......

📚{At Targeeb War Tarheeb.. jild-1, Page-102, Hadees No-18}

🔷Afsos Ki Aaj Hum Se Miswak Ka Riwaj Uthta Ja Raha Hai...

✅Sunnat:-

🔶Agar Miswak Na Ho To Ungli Se Dant Manjhe.. Agar Dant Na Ho To Ungli Ya Kapda Masudon Me Pher Le.

✅Sunnat:-

🔷Phir 3 Chullu Pani Se 3 Kulliyan Kare Aise Ke Muh Ke Har Hisse Me Pani Jaye...
Roza Na Ho To Gar Garah Kare..

✅Sunnat:-

🔷Phir 3 Chullu Nak Me Pani Dale..
Jahan Narm Haddi Hai...
Pani Sidhe Hath Se Dale Nak ulte Hath Se Saf Kare...

✅Sunnat:-

🔶Muh Dhote Waqt Dadhi Ka Khilal Kare..

✅Sunnat:-

🔷Hath Paon Ki Ungliyon Ka Khilal Kare...
Paon Ki Ungliyon Ka Khilal Is Tarah Kare Ki Pehle Sidhe Paon Ki Sab Se Choti ungli se Shuru Kare Aur Anguthe Par Khatm Kare....

🔶Phir Ulte Paon Me Anguthe Se Shuru Kar Ke Choti ungli pe Khatm Kare...

✅Sunnat:-

🔷Jo Aaza Dhone Ke Hain (hath paon muh pair) unhe 3-3 Baar Dhoye Har Martaba Is Tarah Dhoye Ki Koi Hissa Na Reh Jaye... warna Sunnat Ada Na Hogi.

🔶Insha'allah Aage Wazu ke Mustahibbat Aur Makruhat & Mufsidaat Ka Bayan Hoga....

🔶Tafseel Ke Liye Bahare-e-Shariat & Fatawa Razviyah Sharif Ka Mutala Kisi Sunni Alim Ki Nigrani Me Kare....

 "Wazu Me Makruhaat" 


🔷Qaydah- Lafz Makrooh Jab Mutlaq Bola Jaye To Usse Makroohe Tehrimi Murad Hota Hai.....

🔶Aur Makroohe Tehrimi Wo Hai jiska Karne Wala GunahGar Hota Hai Magar iska Gunah Haram Se Kam Hai...

🔷Aur Musalsal ise Karna Gunahe Kabira (Bada Gunah) Hai....

🔶Aur 1 Makrooh Hai Tanzihi Jiske Karne Par Gunah To Nahi Hoga Magar Karna Achcha Nahi Aur Lagatar Kiya To Baherhaal GunahGar Hoga....

🔷Wazu Me Kuch Baten Makrooh Hai Hame Isse Bachna Chahiye...

🔸Aurat Ke Gusl Ya Wazu Ke Bache Huye Pani Se Wazu Karna.

🔹Wazu Ke Liye Napak Jagah Baithna Ya Napak Jagah Wazu Ka Pani Girana Ya Masjid Ke Andar Wazu Karna.

🔸Lote Me Wazu Ke Qatre Tapkana Ya Reenth Khankhar Dalna, Qibla Rukh Thookna Ya Kulli Karna, Bila Zaroorat Dunya Ki Baten Karna Ya ziyadah Pani Kharch Karna, 
Ya itna Kam Pani Kharch Karna Ki Sunnat Ada Na Ho.. 
Zor Se Muh Pe Pani Marna.

🔹1 hath Se Muh Dhona. 
Gale Ka Masah Karna, 
Ulte Hath Se Nak Me Pani Dalna, 
Ya Kulli Karna,, 

🔸Sidhe Hath Se Nak Saaf Karna,, 
Apne Liye Wazu Ka Nal Ya Lauta Khas Karna,, 
3 Bar New Pani Se Sar Ka 3 Bar Masah Karna,, 
Dhoop Ke Garm Pani Se Wazu Karna,, 
Muh Dhulte Waqt Hont Aur Ankho Ka Zor Se Band Karna Aur Agar Kuch Sukha Reh Gaya To Wazu Hi Na Hoga

📚{Bahare-e-Shariat Hissa-2, Page-301}

✅Mas'ala:-

🔹Agar Wazu Na Ho To Namaz Aur Sajdae Tilawat & Namaze Janaza Aur Qurane Pak Ko Chhune Ke Liye Wazu Karna Farz Hai

📚{Noorul Izah, Page-18}

✅Mas'ala:-

🔹Tawafe Kaba Ke Liye Wazu Karna Wajib Hai....

📚{Durre Mukhtar, Volume-1, Page-205}

✅Mas'ala:-

🔸Gusle Janabt (Biwi Se Sohbat Ki To Gusl Farz Hua, 
Us Gusl Ko Gusle Janabt Kehte Hain, 
Miya & Biwi Dono Pe Gusl Farz Hai) Se Pehle Aur Jumbi (sohbat ke Bad Jispe Gusl Farz Hua) Ko Khane Peene Se Pehle, 
Aur Sote Waqt, 
Azan & AQAMAT, 
JUMA & EIDAIN Ke Khutbe Ke Liye Aur Sarkar Sal'lallahu Alaihi wasallam Ke Rozae Pak Ki Ziyarat Ke Liye, 
waqufe Arfa Aur Safa & Marwah Ki Saee Ke Liye Wazu Karna Sunnat Hai....

📚{Bahare-e-Shariat, Hissa -2, Page-302}

✅Mas'ala:-

🔹Sote WAQT Aur Uthne Ke Bad, 
Mayyat Ko Nehlane Ya Othane Ke Bad, 
Aur Sohbat Se Pehle, 
Quran Ko Zuban Se Padhne Ke Liye,, 
Aur Jab Gussa Aaye, Hadees Aur ILME DEEN Padhne & Padhane Se Pehle,, juma Aur Eidain Ke Khutbo Ke Ilawa Aur Khutbo Ke Liye (jaise nikah ka) Aur Deeni Kitabo Ko Chhune Se Pehle...

🔹Satre Galeez (Aurat Ya Mard Ki Sharamgah) Chune Ke Bad,, jhoot Bolne & Gali Dene, Ganda Lafz Zuban Se Nikalne, Kafir Se Badan Chhu Jane Ke Bad, Saleb Ya But Chhune, Kodhi Ya Safed Dag Wale Ko Tuch Hone Bagal Khujane Se Jab Ki Usme Bad-Boo Ho, Gibat Karne Zor Zor Se Hansne, Bekar Ke Sher Padhne Aur Oont Ka Gosht Khane, Kisi Aurat Se Badan Tuch Ho Aur Beech Me Koi Kapda Na Ho In Sab Surton Me Wazu Karna Mustahab (achcha) Hai.

📚{Bahare-e-Shariat, Hissat-2, Page-302}

"Wazu Todne Wali Chizon Ka Bayan"


Dhyan Se Padhen... 
Insha'allah ILM Me Izafa Hoga.....

✅Mas'ala:

🔶Pakhana, 
Peshab, 
Mani, 
Mazi (wo safed patla pani jo Sohbat ke khayal Se Nikalta Hai Bahot Mamooli miqdar Me),
Aur Wadi (wo Safed Pani Jo Peshab Ke Bad Nikalta Hai), keeda, 
Hawa (Mard Ya aurat ke Pichle Maqam Se Hawa Nikalna)
Pathri Mard Ya Aurat Ke Aage Ya piche Se Nikle Wazu Jata Rahega....

📚{Bahare-e-Shariat Hissa-2, page-303}

✅Mas'ala:

🔷Khoon Ya Peep kahi Se Nikal Kar Baha Aur Beh Kar Jism Ke us Hisse Par Paohcha Jiska Wazu Ya Gusl Me Dhona Farz Hai To Wazu Jata Raha..

🔶Khoon Ya Peep Sirf Chamka Aur Ubhra Magar Baha Nahi Aur Khilal Ya Miswak Ya Ungli Se Dant Manjhte WAQT khoon ka Asar Paya Ya Naak Me Ungli Dali Uspe Khoon Ka Asar Malum Hua Magar Wo Behne ke Qabil Nahi To Wazu Na Toota...

📚{Bahare-e-Shariat,  Hissa-2, Page-304}

✅Mas'ala:

🔷Khoon Nikla Magar Beh Kar Aisi Jagah Nahi Aaya jiska Dhona Farz Tha To Wazu Na Toota...

🔶Jaise Aankh me Dana Tha Aur Phoot Kar Ankh Me Hi Phail Gaya Bahar Nahi aaaya To Wazu Nahi Toota... 

🔷KAAN Me Dana Tha Toot Kar uska Pani Surakh Se Bahar Nahi Nikla  To Wazu Baqi Raha...

📚{Bahare-e-Shariat, Hissa-2, Page-305}

✅Mas'ala:

🔷Muh Se Khoon Nikla Agar Wo Thook Par Galib Tha Yani Khoon ka Rang Garha Tha To Wazu Toota Agar Khoon Ka Rang Pheka Tha aur Thook ziyadah Tha To Nahi Toota...

📚{Bahare-e-Shariat, Hissa-2, Page-305}

✅Mas'ala:

🔷Muh Bhar Ke Ulti Hona Ya Ulti Me Safra Ya Paani Ya Khana Hi Nikle Tab Bhi Wazu Toota, Walti Me Sirf Balgam Hi Nikla To Wazu Nahi Toota....

📚{Bahare-e-Shariat, Hissa-2, Page-305}

✅Mas'ala:

🔶So Jane Se Wazu TootTa Hai, oonghne Ya Baithe Baithe Jhonkne (Dhilki marne) Se Wazu Nahi TootTa...

📚{FATAWA RAZVIYAH, Jild-1, Page-367}

✅Mas'ala:

🔷BeHoshi,
 Junoon, 
Gashi Aur itna Nasha Karna Ki Chalne Me Paon Ladkhadaye Ye Sab Wazu Tod Deta Hai...

📚{Durre Mukhtar, Jild-1, page-299}

✅Mas'ala:

🔷GUTHNA Ya Satar Apna Ya Paraya Khulne Se Ya Use Dekhne Se Wazu Nahi TootTa.

📚{Fatawa Razviyah, jild-1, Page-319}

🎴Guzarish:

Nawaqize Wazu Ke Liye Bahare-e-Shariat & Fatawa Razviyah Jaisi Zakheem Kitabon Ka Mutala Karen......

⚫"GUSL KA TARIQAH"⚫


🔷Gusl Yani islami Tariqe Se Paki Hasil karne ka masnoon Tariqa Dhiyan Se Padhiye insha'Allah Samajh Me aayga.....

🔶Jab Bhi Gusl Karna Ho Pehle Niyyat Kar Ke Gusl khane Me Dakhil Ho, 

🔷Phir Dono Hath 3 martaba Gatthon Tak Dhoyen, 

🔶Phir Istinja Ki Jagah Ko Dhoyen Chahe Gandgi Lagi Ho Ya Na Lagi Ho.... 

🔷Phir Badan Ke Jis Hisse Par Najasat Lagi Ho use Dhoyen uske Bad Namaz Jaisa wazu Kare... 

🔶Magar Paon Na Dhulen Haan Agar Aap Chowki Ya Unche Patthar Ya Kisi Takhte Par Baithe Hon To Phir Paon Bhi Dhule.....

🔷Phir Badan Par Tel (Oil) Ki Tarah Paani Chapad Le.........

🔶Phir 3 Martaba Sidhe Kandhe Phir 3 Martaba Ulte Kandhe Par Pani Bahaye........

🔷Phir Sar Pe Pani Bahaye Phir 3 Baar Pure Badan Par Bahaye is Tarah Ki Koi Jagah Dhulne Se Baqi Na Rahe..........

🔶Pehle Aagr Wazu Karne Me Paon Nahi Dhule The To Ab Dhul Le.....

🔷Tamam Badan Par Hath Phere Aur Male...

🔶Gusl Aisi Jagah Kare Jahan Koi Na Dekhe... 

🔷Agar Aam Jagah Gusl Kar Raha Ho Jahan kisi Ki Nazar Padti Hai To Aisi Jagah Apne Naaf Se Ghutno Tak Kapda Pahen Le Aur Phir Gusl Kare.....
Nahate Waqt Qibla Rukh Na Ho...

🔶Nahate WAQT Na Baat Kare Na Kisi Qism Ki Dua Padhe...

🔷Jahan kisi Ke Dekhne Ka Ehtemal Na Ho Wahan Nanga Nahane Me Harj Nahi....'

🔶Gusl Me Aurton Ko Bahot Ehtiyaat Chaiye Hatta Ki Aurton Ko Baith Kar Nahana Chaiye Aur Gusl Hote Hi Kapde Pahen Le....

🎴Note- 

🔶Gusl Me 3 Baten Farz Hai Aur kuch Sunnat & kuch Mustahab Hai....

🔷Farz Me Se Agar 1 Farz Pe Bhi Amal Na Hua To Gusl Hi Nahi Hua.....

📚{Qanoone Shari'at, Hissa-1, page-57}

⚫Fara'ize Gusl Ye Hain.........


🔘Kulli karna,

🔘Naak Me Pani Dalna,

🔘Tamam Badan Pe Pani Bahana....

⚪"GUSL KE FARA'IZ Aur Masayel"⚪

⚫Gusl Me 3 Chizen Farz Hai, Kisi 1 Farz Pe Amal Na Hua To Gusl Hi Nahi Hoga.....


🔘KULLI KARNA:-

🔶Is Tarah ki muh ke Har Purze Goshe Hont Se HALAQ Ki Jad Tak Har Jagah Paani Beh Jaye.. Aksar Log Zara Sa Pani Muh Me Leke Ugal Dete Hain Ye Kulli Na Hui Jab Tak Zaban aur HALAQ Ki Jad Tak Pani Na Jaye...

🔷Danton ki jad aur surakhon me koi Chiz phansi ho To Use Nikale Aur Wahan Tak Pani Paohchaye....

🔶Haan Dant Agar Taar Ya Kisi Masale se Jamaya Gaya Ho Aur Wahan Tak Pani Na Pahochta Ho To Maaf Hai

📚{Bahar-e-shariat Hissa-2, page-316}

🔘NAK ME PANI DALNA:-

🔶Hath Ka Katora Bana Kar Pani Le Aur Nak Me soongh kar Upar Chadhaye Baal Barabar Bhi Jagah Dhulne Se Reh Na Jaye Warna Gusl Na Hoga.. 

🔷Naak ki Reenth Andar Sookh Gai Ho To Use Chhudana Farz Hai Neez Nak Ke Balon Ka Dhona Bhi Farz Hai...

📚{Bahar-e-Shariat Hissa-2, page-317}

🔘PURE BADAN KA DHONA:-

🔶Yani Sar Ke Baal Se Paon Ke Talwon Tak Jism Ke Har Purze Ka Dhona Aisa Ke Har Rangote Par Pani Beh Jaye Farz Hai.....

🔷Tafseel Bahar-E-Shariat Me Dekhe Ya Kisi Sunni Alim Se Apne Wazu Gusl Ka Mukammal Tariqa Maloom Kare.....

⚫"GUSL KIN BATON SE FARZ HOTA HAI"⚫


💠Wo 5 Baten Hain Jinki Bina Par Gusl Farz Hota Hai.......

🔷Mani Ka Apni Jagah Se Shehwat (Maze) Se Nikalna......

🔶Ehtelam Yani Sote Me mani Ka Nikalna (night Fall) ......

🔷Sharmgah Me Hashfah Ka Chale Jana Khawah Maze Se Ho Ya Bila Maza mani nikle ya Na Nikle (mard ke peshab ke maqam ka agla hissa hashfa kehlata hai jise Aam zuban Me Topa Kehte Hain agar Wo ki sharmgah Me Dakhil Ho To Gusl Farz Hua)

🔶Aurat Ka Haiz Se Farig Hona.....

🔷Nifas Yani Bachcha Janne Ke Bad Jo Khoon aata Hai usse Farig Hone Ke Bad......

🔶Yahi wo 5 Baten Hain Jinse Gusl Farz Hota Hai....

✅Mas'ala:-

🔷Mani Shehwat Se Apne Maqam Se Juda Na Hui Balki Boojh Uthane Ya Oonchai Se Girne Par Nikli To Gusl Wajib Na Hua Haan Wazoo Toot Gaya...

📚{Fatawa Alamgeeri, jild-1, page-10}

✅Mas'ala:

🔷Khawab Dekha Mani Nikalne Ko Thi Ki Pakad Ke Daba Liya Aur Mani Nikalne Na Dee... 

🔶Phir Jab Aale Ki Sakhti Khatm Hui Aur Ab Mani Nikle To Gusl Wajib Ho Gaya

📚{Fatawa Razviyah, Jild-1, Safah-518}

✅Mas'ala:

🔷Jispe Gusl Farz Ho Use Masjid Me Jana, 
Tawafe Kaba,
Qurane Pak Chhuna Ya Zabani Padhna... 

🔶Ya Kisi Ayat Ka Likhna Ya Qurani Taviz Ka Likhna Ya Chuna Haram Hai....

📚{Bahar-e-shariat,  Hissa-2, Page-326}

✅Mas'ala:

🔷Be-Gusli Ko Tafseer Hadees Fiqah Ki Kitabon Ko Chhuna Makrooh Hai, 

🔶Pichli Asmani Kitaben Jaise Taurat Zaboor Enjeele Muqaddas Ka Chuna Aur Padhna Bhi Makrooh Hai,

🔷Darood Sharif & Duayen Kulli Ya Wazu Kar Ke Padh Sakta Hai & Azan Ka Jawab Dena Bhi Jayez Hai...

📚{Fatwa Hindiya, Volume-1, Page-38}

💠Gusl ke Bahot Se Masyael aur Badi Tafsilaat Ke Saath Janne Ke Liye Sarkar  Sad'rushshriah Ki Bahar-e-shariat Ka Mutala kare Hum Ne Sirf Zaroori & Aasan Masayel Hi Bayan Kiye Hain.......

🔘"Namaz Ki Fazilat"🔘


🔸Iman Ki Durusti Aur AQIDE Ki Pukhtagi Mutabiq Ahlesunnat O Jamat Ke Bad Har Musalman AQIL O Balig Mard O Aurat Par Tamam Fara'iz Me Ahem Farz NAMAZ Ka Padhna Hai......

🔹Namaz Ki Ahmiyat O Afadiyat Par Quran O Hadees Me Jagah Jagah Fazilaten Warid Hui Hain...

🔷Iske Ada Par Sakht Takeed Aur Tark Par Sakht Wa'eeden Aai Hain....

🔶Allah Jallah Majdahu Irshad Farmata Hai....

↪QURAN:-
   
🔶Ye Kitab (Quran) Parhezgro Ko Hidayat Hai Jo Gaib (Allah, farishte jannat Jahanna & mehshar etc) Par iman Laye, aur Namaz Qayam Rakhte Hain...

📓{Sure BAQRAH Ayat-3}

↪QURAN.....
   
🔷Kharabi Hai Un Namaziyon Ke Liye Jo Apni Namaz Se Be-Khabar Hain, 
WAQT Guzar Kar Padhne Uthte Hain...

📓{Sure Maoon Ayat-5}

🔷Jahanna Me Eik Wadi Hai Jiski Sakhti Se Jahannam Bhi Panah Mangta Hai Uska Naam Wail Hai, 

🔶WAQT Guzar Kar Namaz Padhne Wale Usme Dale Jayenge....

🔷Allahu Akbar Sirf Be-WAQT Padhne Walon Ka Ye Haal Hoga Aur Jo Padhte Hi Nahi Hai unka Kya Banega??????

✅HADEES:

🔷Hazrat Abdullah Bin Masood Ne Huzoor صلی اللہ علیہ و سلم Se Pucha Allah Pak Ko Sab Se Pasand Kaunse Aamal Hai?
Farmaya Huzoor Ne, 
WAQT Ke Andar Namaz Padhna, Pucha Phir?

🔶Farmaya Maa Baap Ke Saath Neki Karna.....
Pucha Phir???
Farmaya. Allah Ki Raah Me Jihad Karna...

📕{Sahi Bukhari, Kitab Mawaqitus'salat, Jild-1, Page-196, Hadis No-527}

✅HADEES:

🔷Ek Saheb Ne Arz Ki Ya Rasu'lallah صلی اللہ علیہ وسلم Allah Ko Sab Se Ziyadah Kya Pasand Hai????
Farmaya, WAQT Me Namaz Padhna, 

🔶Jisne Namaz Chhodi Uska Koi Deen Nahi, 
Namaz Deen Ka Sutoon (Khamba) Hai...

📘{Shabul iman, jild-3, page-39}

✅HADEES:

🔷Hazrat ABU HURAIRAH Se Marwi Hai Farmaya Huzoore Pak Ne, Jo Shakhs Apne Ghar Se Taharat (wazu & gusl) kar Ke Farz Ada Karne Masjid Gaya Uske Eik Qadam Me 1 Gunah Mit'ta Hai Aur aur Dusre Qadam Pe 1 Darja Baland Hota Hai.....

📚{SAHI MUSLIM, KITABUL MASAJID, Hadees No-666}

✅HADEES:

🔷Sarkare Azam Ne Farmaya Musalman Ke Pure Badan Ko Aag Khayegi (Jo Musalman Apni Shamate Nafas ki Bina Par Jahannam Me Jayga Uske) Siwaya Aazaye Sujood (sajde Me Badan Ka Jo Hissa Zameen Par Lagta Hai Use Chhod Kar) Ke, Allah Pak Ne Unka Khana Aag Par Haram Farma Diya....

🔶{SUNANE IBANE MAJAH, BAB SIFTUN'NAR, Hadees-4326}

✅HADEES.

🔷Huzoore Akram Sallallahu Alaihi Wassalam Ka Irshade Girami Hai......

🔶Allah Bande Ko is Haal Me Ziyadah Pasand Farmata Hai Ki Wo Sajde Me Apna Muh Khak (zameen) Par Mal Raha Ho...

📙{Tabrani, jild-4, Hadis No-6085}

✅HADEES:

🔶Har Shaye (Chiz) Ki Alamat (nishan, jisse wo pehchani jaye) Hoti Hai Aur iman Ki Alamt Namaz Hai....

📘{Mazkhooz Az Bahar-e-shariat Hissa-3, page-439, Ba-hawala munyatul musalli}

✅HADEES:

🔷Namaz Deen Ka Sutoon Hai Jisne Use Qayam Rakha Usne Deen Ko BAQI Rakha Aur Jisne Use Chhod Diya Usne Deen Ko Gira Diya....

📚{Bahar-e-shariat}

✅HADEES:

🔶Islam Me uska Koi Hissa Nahi Jiske Liye Namaz Nahi Hai....

📚{Kanzul ummal, jild-7, page-133}

🔷Tarikeen namaz Jo imano Aqide Ki Badi Badi Baten Karte Hain is Farmane Rasool Sallallahu Alaihi Wassalam Se Ibrat Hasil Karen.....

✅HADEES:

🔷Jisne Namaz Ki Hifazat Kee wo Qayamat Ke Din Uske Liye Noor Aur Daleel Aur Nijat Hogi....

🔶Aur Jisne Namaz Ki Hifazat Na Kee uske Liye Na Noor Na Daleel Na Najat hogi Aur Qayamat Ke Din Wo Qaroon Firon Haman aur Ubai Bin Khalf Ke Saath Hoga

📚{Musnade imam Ahmad Bin Hambal}

✅HADEES:

🔷SAHABA NAMAZ KE CHHODNE WALE KO KAFIR JANTE THE, 
Jinme Hazrat Umar, 
Hazrat Abdur Rahman, 
Hazrat Abdullah Bin Masood, Hazrat Abdullah Bin Abbas,
Hazrat Jabir Bin Abdullah Aur Hazrate muaaz aur Abu Hurairah Ka Yahi Mazhab Hai Ki Be-namazi Kafir Hai.....

🔷Imam ahmad Bin Hambal Abdullah Bin Mubarak aur imam Nakhi Ke Nazdeek Bhi Be-namzi Kafir Hai.....

🔶Haan hamare imam sarkar abu hanifa & bahot se Sahaba Be-namzi ko Kafir Nahi Jante Magar Yahi Kya Kam Hai Ki Bade Bade Sahaba Ne Kafir kaha???

📚{جامع ترمذی، ابواب الایمان، باب ما جاء في ترک الصلوة، الحديث-۲۶۳۱}

🔷Ba-Gaor Padhe Ye Sab Allah Ke Mehboobe Azam Sallallahu Alaihi Wassalam Ke Farameen aur uske Sohbat Yafta Jannati jamat sahaba ke AQWAL Hai kya isse Badh Kar Kisi Ki Baat Ho Sakti Hai...

🔶Namazo Ka Chhodna Aur Shafat Pe Nazan Hona Ya Kisi Pe Takya Kar lena Ki Falan Kaam Aajyega ye Mahez Kham Khali Aur Jhooti Aas Hai....

🔵NAMAZ KI QISME FIQHI ISTILAHAAT 🔵


🔘FARZ: 

🔷Wo Hukm hai Jiska Lazoom DALEEL QATA’I se saabit ho.

🔘Daleel Qata’i 3 Cheezein hain:

🔶1.Qur’an ki Aayat Jiske Ma’na me A’immah ka Iqtilaf Na ho.

🔷2.Hadees Mutawatir, 
Jis Hadees ke Raavi is Qadar Zyadah ho ke Un Sab ka Jhoota hona Aqlan Muhaal ho. 
Aur Ye Zyadati Shuroo’ se Akheer Raavi tak har Tibqah me rahe.

🔷3.Ijma’-e-Ummat se Jaise 5 Waqt ki Namaz.
FARZ ka MUNKAR KAAFIR hai.

🔶Bila Uzr Chhorne wala FAASIQ aur AZAAB-E-ALEEM KA MUSTAHIQ hai.

🔘FARZ KI 2 QISMEIN HAIN:

🔵1.FARZ-E-AYN: 

🔷Ya’ni Jiska adaa karna Har Shaqs par Zaroori ho. 

🔶Jaise Namaz, 
Rozah, 
Zakath, 
Hajj, 
Islami Aqaa’id aur Farz Ibadaton ka seekhna. 

🔷Isko bila Uzr chhorne wala FAASIQ aur GUNAH-GAAR hai.

🔵2.FARZ-E-KIFAAYAH: 

🔶Jo Ek 2 Aadmiyon ke adaa karne se Sab ke Zimmah se Utar Jaayega. 

🔷Koi bhi Na kare to Sab Gunahgaar honge Jaise Namaz-e-Janazah, 
Aalim-e-Deen banna.

🔷NAMAZ KE FARAA’IZ: se Matlab Wo Cheezein hain ke Inke Chhoot Jaane se Namaz Nahi hoti. Aur Namaz Lautaana FARZ hota hai.

🔶WAAJIB: Wo Hukm hai Jiska Lazoom DALEEL ZANI se saabit ho.

🔘Daleel Zani 3 Cheezein hain:


🔷1. Qur’an ki Aayat Jiske ma’ne me Doosra bhi Ahtemaal (possibility) ho.

🔶2. Aisi Hadees Jiske Raavi bohat Na ho ke TAWATUR ke darjah ko Pohnche.

🔷3. Qiyaas Ahle Ijtihaad.
Waajib ki misaal FARZ Namaz ki Jama’t, Eidein ki Namaz waghera.

🔘WAAJIB KI 2 QISMEIN HAIN:


🔵1.WAAJIB-E-AYN: 

🔶Jiska adaa karna Har Musalman par Alhaidah Alhaidah WAAJIB hai. 

🔷Jaise Namaz WITR, 
Namaz EID waghera.

🔵2.WAAJIB-E-KIFAAYAH: 

🔶Aisa Waajib hai ke Agar Kuch Musalman adaa Karein to Sab ki taraf se adaa ho Jaaye, 
Warna Sab Gunahgaar honge Jaise Tableegh-e-Deen.

🔷NAMAZ KE WAAJIBAAT Ka Hukm Ye hai ke Jiska Namaz me Adaa Karna Zaroori hai. 

🔶Isko Qasdan chhorne se Namaz to ho Jati hai magar NAAQIS Ya’ni MAKROOH-E-TEHREEMI, 
WAAJIB AL-I’AADAH hoti hai.

🔷Haan.! Agar Wajib bhoole se Chhoot Jaaye to Uske liye Sajdah Sahoo kaafi hota hai. 

🔶Haan.! Agar Sajdah Sahoo Na kiya to Namaz Waqt ke andar Lautaani WAAJIB hai.....

🔘SUNNAT:

🔷Jis Cheez ko Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ne Ya Sahaba-e-Kiraam (rizwaanullahi ajma’een) ne Kiya ho Ya Karne ka Hukm diya ho.

🔘SUNNAT 2 QISMEIN HAIN:


🔵SUNNAT-E-MU’AKKIDAH:-

🔶Wo Kaam Jise Huzoor (sallallahu alaihi wa sallam) Aksar Karte rahe ho Ya Karne ke liye farmaya ho. 

🔷Aur bila Uzr Kabhi Na Chhora ho Jaise SUBAH (FAJAR) ki Sunnatein. 
Iska Chhorna GUNAAH hai.

🔵SUNNAT-E-GAIR MU’AKKIDAH:-

🔶Wo Kaam Jise Huzoor (sallallahu alaihi wa sallam) ne Aksar kiya ho,

🔷Aur Kabhi bila Uzr Chhor bhi diya ho. 
Aisi SUNNAT ke chhorne se GUNAAH Nahi hota Jaisa ke Asar ki Sunnatein.

🔘Phir SUNNAT ki Aur 2 Qismein hain:-

⚫SUNNAT-E-AYN: 


🔷Jiska adaa karna Har Musalman ke liye Alhaidah Alhaidah Sunnat hai Jaise Aam Sunnatein.

⚫SUNNAT-E-KIFAAYAH: 


🔶Aisi Sunnat ke Agar Kuch Musalman adaa karein to Sab ki taraf se Adaaygi ho Jaaye Warna Sab par Sunnat Chhorne ka Baar rahega Jaise A’itekaaf.

⛔NOTE-1: 

🔷Jis Sunnat ka Saboot Hadees-e-Mutawatir se ho Uska MUNKAR KAAFIR ho jata hai aur Jis Sunnat ka Saboot Hadees-e-Mash’hoor se ho Uska Munkar FAASIQ ho jata hai.

🔶Agar Sunnat ka saboot Hadees Ahaad se hai to Uske Munkar ko BID’ATI kehte hain.

🔷Agar Sunnat Ittifaqan TARK ho Jaye to Kuch HARJ Nahi. 
Agar Aadat Kar li to Uske TARK par Usko Malaamat karna chahiye. Wo Gumraah hai aur Shifa’at se Mehroom rahega.

⛔NOTE-2: 

🔷Namaz me Sunnat-e-Mu’akkidah qasdan Ya sehvan chhoot Jaaye to Namaz Makrooh Tanzeehi hogi. 

🔶Namaz ka I’aadah Ya’ni Dohraana Nahi hai, 
Albatta Sawaab Kam ho Jaayega.

🔘MUSTAHAB: 


🔷Jis kaam ke karne ka Sawaab Huzoor (sallallahu alaihi wa sallam) ne bayaan farmaya ho, aur Us par Khud bhi amal kiya ho, aur Wo Ibadat ke Baab se ho Aadat ke Baab se Na ho.

🔶Mustahab ke karne me Sawaab hai, 
Na karne me Koi Azaab Nahi hai. 

🔷Mustahab ka Munkar Na to Kafir hai Na Faasiq, 
Na Bid’ati. Haan Karne wala Sawaab aur Fazeelat ka Mustahiq hai.

🔘MUBAAH: 

🔷Wo Kaam Jiske Karne me Na Sawaab ho aur Na, Na karne me Gunaah ho.

🔘NAFL:

🔶Jis cheez ki Fazeelat aayi ho aur Karne me Sawaab ho,
Aur Chhorne me Azaab Na ho, Nafl ko Mustahab, 
Mandoob aur Tatoo’ bhi kehte hain.

🔘HARAAM: 

🔶Wo Kaam Jiski Hurmat aur Mukhalifat Daleel Qata’i se sabit ho Jaise Jhooti Gawaahi dena, Choghli, 
Chori, 
Sharaab peena, 
Sood lena, 
Rishwat, 
Juwa waghera.
HARAAM ka Munkar Kaafir ho jata hai,

🔷Aur baghair Uzr ke Iska Murtakib FASIQ aur MUSTAHIQ Azaab wa Saza hota hai.

⚫MAKROOH: 


🔷Ya’ni Na-Gawaar (Na-Pasandeedah) aur Bura.

🔵MAKROOH 2 QISMEIN HAIN:

🔘MAKROOH-E-TEHREEMI:-

🔷Jiski Mumaani’at aur Na-Pasandeedgi Daleel Zani se ho. Aisa bura Kaam Jo Haraam ke qareeb qareeb ho. 

🔶Makrooh-e-Tehreemi ka Munkar Kafir to Nahi hota lekin Amal me laane wale Fasiq aur Azaab ka Mustahiq hota hai.

🔘MAKROOH-E-TANZEEHI:-

🔷Tanziyah ke ma’na PAAK wa SAAF hain. 
Makrooh-e-Tanzeehi aisa Fa’l hai Jo Paak-baaz ko Nahi karna Chahiye. 

🔶Ya’ni aisa bura Kaam Jiski buraayi ma’mooli ho, 
Shari’at me Gair-Munaasib samjha jaata ho, 

🔷Iska chhorna Achha hota hai, aur Karna PAAK-BAAZI ke khilaf hai. 
Bach Jaaye to Sawaab ka Mustahiq hota hai.

⛔NOTE: 

⚫Namaz me Makrooh-e-Tehreemi se bachna Zaroori hai aur Iske karne se Gunaah hota hai. 
Aur Makrooh-e-Tanzeehi ka Karna Khilaf-e-Aulaa hai......

🔷NAMAZI KE AAGE SE GUZARNEWALA JANTA KE US PAR KYA GUNAH HAI TO ZAMIN ME DHANS JAANE KO GUZARNE SE BEHTAR JAANTA....

📚(FATAWA-E-AALAMGIRI)

🔶JAB BANDA NAMAZ ADA KARTA HAI TO USKE GUNAH USKE SAR PE RAKH DIYE JATE HAI JAB WO SAJDA KARTA HAI TO GUNAH GIR JAATE HAI....

📚(MUSNAD-E-IMAAM AHMAD)

🔷Jo Shakhs 5Paanch Waqta NAMAZ JAAMAT Ke Sath Ada Kare ALLAH TA'ALA Usko 70 HAJJ Ka Sawaab Ata Karega....

📚[TAZKIRATUL WAEZEEN]

🔶Jo Shaks Apne Ghar Se Wazu Kar Ke FARZ NAMAZ Ada Karne Ke Liye Masjid Jata Hai
To Usko HAJJ Ke Liye AHRAM Bandhne Wale Ki Tarah Sawab Milta Hai ....

📚(Abu Dawood)

🔷Agar Log Jaan Le Ke Isha Aur Fajr Ki NAMAZ Ki Kitni Fazilat Hai To Wo Zarur Usme Sharik Ho Agarche Unhe Ghasit-Ghasit Kar Aana Pade....

📚(Bukhari Sharif)

🔶"ALLAH ke nazdeek jaldi wo DUA Qubul hoti he jo sajde me kee jaye
Isliye DUA SAJDE me kiye karo"

📚(Muslim Sharif)

🔷"DAUDTE HUE NAMAZ KO JAANA MAKROOH HAI."

📚(RADDUL MUKHTAAR)

🔶"JALTI HUI AAG KE
SAMNE NAMAZ PADHNA MAKROOG HAI
LEKIN CHARAG YA LALTEN KE SAMNE NAMAZ PADHNE ME KOI KARAAHAT NAHI."

📕(DURR-E-MUKHTAR Jild:1 S:438)

🔷"NAMAZ TARIKA-E-AMBIYA-E-SAABEKIN HAI
NAMAZ MA'REFAT-E ILAAHI KA NOOR HAI NAMAZ ISLAM KI JAD HAI FARISHTO KI MUHABBAT KA WASILA HAI"

🔶NAMAZ QABR KA BICHHAUNA NAMAZ MUNKAR-NAKIR KO QABR ME MURDE KI TARAF SE JAWAB DEGI NAMAZ QABR ME QAYAMAT TAK MURDE KI MADADGAR BANI RAHEGI

🔷"NAMAZ ME BAGAIR UJR HATH SE MAKKHI,
MACHHAR UDAANA MAKROOH HAI."

📕(FATAWA-E-AALAMGIRI JILD-1 SAFA-102)

🔘MAS'ALA:

🔷"NAMAZ ME TOPI GIR PADI TO EK HATH SE UTHA KAR SAR PAR RAKH LENA BEHTAR HAI
AUR AGAR BAAR BAAR GIR PADTI HO TO NA UTHANA ACHHA HAI."

🔶SUSTI SE NANGE SAR NAMAZ PADHNA YANI TOPI SE BOJ MALUM HOTA HAI
YA GARMI LAGTI HAI
IS WAJAH SE TO YE MAKRUH-E-TANJIHI HAI..

📚(RADUL MUKHTAR)

🔶NAMAZ KO HAQEER KHYAL KARKE NANGE SAR PADHE
JAISE NAMAZ KOI SHANDAR CHEEZ NAHI KI TOPI KA EHTEMAM KIYA JAYE TO YE KUFR HAI....

📕(RADUL MUHTAR Jild:1 Safa:431)

🔘MAKRUHAAT:

🔷KAPDE YA BADAN YA DAADHI MOOCHH SE KHELNA
SAJDE ME JAATE WAQT AAGE YA PEECHHE SE DAMAN YA CHADAR YA TAHBAND UTHA LENA KAPDA LATKAANA YAANI SAR YA KANDHE PAR KAPDA,
CHADAR WAGAIRAH IS TARAH DAALNA KI DONO KINARE LATAKTE HO.....

📕(RADUL MUKHTAR Jild-1 Safa-429)

🔘NAMAZ KE MAKRUHAT:


🔶KISI EK AASTIN KO AADHI KALAEE SE ZYADA CHADHANA
DAAMAN SAMET KAR NAMAZ PADHNA IDHAR UDHAR MUH FER KAR DEKHNA....

📚(RADUL MUKHTAR)

🔘NAMAZ KE MAKRUHAAT:

🔷ATTAHIYYAT ME YA DONO SAJDO KE DARMIYAN
DONO HAATHO KO RAAN PAR RAKHNE KI BAJAAY ZAMEEN PAR RAKH KAR BAITHANA.

📕[AALAMGIRI J-1,S-99]

🔘NAMAZ KE MAKRUHAAT:

🔷UNGLIYA CHATKHANA
AASMAN KI TARAF NIGAAH UTHANA 
MARD KA SAJDE ME KALAAIYO KO ZAMEEN PAR BICHAANA.

🔘MAKRUHAAT:

🔷NAMAZ ME BILA UJR PAALTI MAAR KAR BAITHNA
NAMAZ ME DAAYE BAAYE JOOMNA
ULTA QUR'AN MAJEED PADHNA...

📕(DURR-E-MUKHTAR J-1,S -429)

🔘NAMAZ KE MAKRUHAAT:

🔷NAMAZ ME KAMAR PAR HAATH RAKHNA..

🔶NAMAZ KE ILAAWA BHI KAMAR PAR HAATH NA RAKHNA CHAHIYE
YE TAMAM BAATE MAKRUH-e
TAHRIMI HAI AGAR NAMAZ ME YE MAKRUHAAT HO JAAYE
TO USKO DOHRA LENA CHAHIYE.

📕(DURR-E-MUKHTAR JILD-1, SAFA-429)

🔘NAMAZ TOD DENE KE AA'ZAR:
(YANI KIN KIN SOORTO ME NAMAZ TOD DENA JAIZ HAI):

🔷KOI DUB RAHA HO YA
AAG SE JAL JAYEGA 
YA ANDHA KUE ME GIR PADEGA AUR YE USKO BACHANE KI QUDRAT RAKHTA HO TO US PAR WAJIB HAI KI NAMAZ TOD KAR USKI MADAD KE LIYE DAUD PADE...

📕(RADDUL MUHTAR JILD-1,SAFA-440)

🔶IN SOORTO ME NAMAZI PAR WAJIB HAI KI
NAMAZ TOD KAR UN LOGO KO
BACHAE YUHI AGAR KOI KISI KO QATL KAR RAHA HO
& WO FARIYAD KAR RAHA HO
SAAMP WAGAIRAH MAAR NE KE LIYE JAB KI KAAT LENE KA SAHI DAR HO TO NAMAZ TOD DENA JAIZ HAI.

📚(DURR-E-MUKHTAR SAFA:440)

🔷PESHAB PAAKHANA QABU SE BAAHAR MALUM HUA
YA APNE KAPDE PAR ITNI KAM NAJAASAT DEKHI JITNI NAJAASAT KE HOTE HUE NAMAZ HO SAKTI HAI.
YA NAMAZI KO KISI AJNABI AURAT NE CHHU DIYA
TO IN TEENO SOORTO ME NAMAZ TOD DENA MUSTAHAB HAI...

📚(DURR MUKHTAR
&
RADDUL MUKHTAR J-1, S-440)

⚪"Masail-E-Namaz"⚪


⚫Namaz Shuru Karne Se Qabal Kuch Chizen Shart Hain Jab Tak Wo Na Paai Gai Namaz Shuru Hogi Hi Nahi........

⚪Kuch Chizen Namaz Me Farz Hai Jab Tak Wo Ada Na Hogi Namaz Hogi Hi Nahi...

⚫Kuch Wajibat Hain Agar Wajib Ko Qasdan Chhoda To Gunehgar Hua Aur Namaz Ka Phir Se Padhna Wajib Hai.....

⚪Agar Bhool Se Wajib Chhoda To Aakhri Me Sajdah Sahu Kar Le.....

⚪Aur Kuch Baten Namaz Me Sunnate Hai, jinko Chodne Ki Adat Banana Gunah Aur Bhool Se Chhot Jaye To Koi Harj Nahi.........

⚫Aur Kuch Chizen Mustahab Hain Jinko Karna Sawab Hai Aur Chhod Dene Par Koi Gunah Nahi......

⚪Jo Pehle Ke Part Me Bata Diya Gaya hai

↪Namaz Shuru Karne Se Qabal in Baton Ka Paya Jana Zaroori Hai

         🔵Shara'it-E-Namaz🔵


🔶TAHARAT 
(Namazi Ke Kapde Aur Badan Aur Jis Jagah Namaz Padh Raha Hai Us Jagah Ka Pak Hona)

🔷SATRE AURAT 
(Namazi Ka Apne Badan Ka Wo Hissa Jiska Chupana Farz Hai Use Chupana)

🔶Yani Kam Se Kam Naaf Se Ghutno Tak Ka Chupana Farz Hai, isse Kam Chupa Hai To Namaz Shuru Hi Nahi Hogi....
Alhamdulillah Aaj Ke Daur Me Kapdon Ki Kisi Ko Kami Nahi Hai....

↪QURAN....

🔷Har Namaz Ke WAQT Kapde Pehno,

📓{Para-8, Sure Aaraf Ayat No-31}

🔶ISTEQBALE QIBLAH 
(Namaz Me Qibla Ki Taraf Muh Karna)

🔷WAQT Ka Hona 
(Kisi Namaz Ko Waqt Se Pehle Padhne Se Wo Hui Nahi,,, 
Aur Waqt Guzar Kar Padhne Se Ho To Gai Magar Qaza Aur Sawab Bhi Kam}

🔷NIYYAT 
(Dil Me Pakka irada Namaz Ka Ho)

🔶TAKBIRR TEHRIMA 
(Yani Niyyat Bandhte WAQT Jo Allahu Akbar Kahi Jati Hai isko Takbire Tehrima Kehte Hain Iske Saath Hi Ab Namaz Shuru Ho Gai.

📚{Raddul Mohtar, BAB SHURU'TUS SALAT, Bahsul Qayam, Jild-2, Page-162}


    🔘(FARA'IZ-E-NAMAZ)🔘


🔷TAKBIRE TEHRIMA 
(Ye Shart Bhi Hai & Farz Bhi)

🔶QAYAM 
(Namaz Me Sidha Khade Hona)

🔷QIRAT
(Quran Ki Kam Se Kam 1 Ayat Padhna, Chahen Namaz Sunnat Ho Ya Farz Nafl Ho Ya Wajib Akele Padhe Ya imam Bane, Haan imam ke Piche Hai To Qirat Na Kare Chahe Koi Namaz Ho}

🔶RUKOO 
(Itna Jhukna Ko Hath Ghutno Se Lag Jayen)

🔷SUJOOD 
(Mathe Ka Zameen Se Lagana Is Tarah Ki Paon Ki 1 ungli Ka Pet Zameen Se Laga Ho) 
Har Rakat Me 2 Sajde Farz Hai.

🔶QADATE AKHIRAH 
(Yani Namaz Ki Rakaten Puri Hone Ke Bad Itna Baithna ki Attahiyyat Me Rasuluhu Tak Padha Ja Sake)

🔷KHURUJE BESUN'IHI (Namaz Ke Akhri Qayde Me Apne Iradah Wo Amal Se Namaz Ko Khatm Kar Dena......

📘{Bahar-e-shariat, Hissa-3, Page-516}

✅Mas'ala:

🔷MUQTADI Ke Liye Ye Bhi Farz Hai Ki Apne imam Ki Namaz Ko Sahi Khayal Kare,

🔶Uske Nazdeek Agar imam ki Namaz Sahi Nahi Hai To Khud Uski Na Hui,
Imam Ki Ho Gai...

📗{Durre mukhtar, jild-2, safah-173}

⚫"NAMAZ KI SUNNATEN"⚫


🔷Takbire Tehrima Ke Liye Hath Uthana,

🔶Haton Ki Ungliyon Ko Apne Haal Par Chhodna,

🔷Hatheliyon Aur Ungliyon Ke Pet Ka Qibla Rukh Hona,

🔶Takbir Kehte WAQT Sar Na Jhukana,

🔷Takbir Aur Takbire Qunoot, Aur Takbire Eidain (Eidul Azha & Eidul Fitr ki 6-6 Takbirat) Me Kano Tak Hath Uthana Iske ILAWA Kahi Hath Na Uthana Sunnat Hai,

🔶Aurat Ke Liye Sunnat Ye Hai Ki Kandhon Tak Hath Othaye,

🔷Imam Ho To Use Allahu Kabar & Sami'allahuliman Hamidah & Salam Zor Se Kehna,
Sana Padhna Aur AuzuBillah & Bismillah Padhna Aur Ye Sab Ahista Padhna,

🔶Rukoo Ke Liye Allahu Akbar Kehna Aur Rukoo Me Ghutno Ko Hath Se Pakadna, 

🔷3 Bar Subhana Razbbilyal Azeem Kehna,

🔶Rukoo Me Peeth Khoob Bichi Hui Rakhe Yahan Tak Ki Pani Ka Pyala Rakha Jaye To wo Taher Jaye, 

🔷Rukoo Se Uthte WAQT imam Ka Sami'allahuliman Hamidah Kehna Aur MUQTADIYON Ka Allahumma Rabbana Wa Lakal Hamd Kehna, 

🔶Akele Namaz Padhne Wale Ka Dono Kehna, sajde Ke Liye jate & Uthte Huye Aur Sajde Me 3 Baar Subhana Rabbiyal Aala Kehna Aur Sajde Me Hath Ka Zameen Par Rakhna Sunnat Hai,

🔷Sajde Me Jate Huye Pehle Ghutne  Phir Hath Phir Nak Phir Peshani Rakhna Sunnat Hai Aur Wapas Hote Huye Iska Ulta Kare, 

🔶2 Sajdo Ke Beech Jalsa Karna (baithna) Aur Sidha Qadam Khada & Ulta Bicha Hua Rakhna aur Hathon Ka Rano Pe Rakhna Sajde Me Ungliya Qibla Rukh Hon Aur Ungliyan Mili Hui Rakhna, 

🔷Sadje Me Pair Ki 10wo ungliyan Qibla Roo Hona sunnat Hai, 

🔶Dusri Rakat Ke Liye Uthte WAQT Ghutno Par Hath Rakh Kar Panjo Ke Bal Uthe Yahi Sunnat Hai, 

🔷Qada Me Baithne Ke Liye ulta Pair Bichaye Aur Dono Sureen (chutad) Uspe Rakhe Aur Sidha Pair Khada Ho Uski Ungliyan Qibla Ki Simt Ho Hath Rano Pe Rakhna Is Tarah Ki Ungliyon Ke Sire Ghutno Se Qarib Ho,

🔶Shahadat ke WAQT Kalme Ki Ungli LA Par Utahye Aur Illah Par Gira De, Farz Namaz Ki 3ri & 4thi Rakat Me Sure Fatiha Padhna Afzal Hai 3 Bar Subhan'allah Kehna Bhi Jayez Hai Aur 3 Tasbeeh Padhne Ki MIQDAR Tak Chup Raha Tab Bhi Namaz Ho Jayegi Magar Chup Na Rehna Chaiye,

🔷Namaz Me Durood Sharif Padhte WAQT Huzoor & Hazrat Ibaraheem Ke Naam Se Pehle Sayyedna Lagana Behtar Hai...

📚{Bahare-E-Shariat, Hissa-3, page-521}

🔘MAS'ALA:

🔷Agar Imam Ki Awaz Sab Muqtadiyon Ko Nahi Pahochti Hai To Behtar Hai Ki Koi MUQTADI Bhi Baland Awaz Takbir Kahe, 
Taki Sab Ko Awaz Paohche, 
Aur Agar Sab Ko imam Ki Awaz Pahochti hai To Bila Zarurat mukabbir Banna Makrooh Hai...

📗(Raddul mohtar, jild-2, page-209)

🔘MAS'ALA:

🔶Koi Agar Rukoo Ki Tasbeeh Me Subha'na Rabbiyal Azeem Me Zo (ظ) Ko Ada Na Kar Sake To Wo Subhana Rabbiyal Kareem Padhe...

📚{Bahare-E-Shariat, Hissa-3, Page-525}

🔘"MAKROOHATE NAMAZ"🔘


🔷Makruhe Tehrimi Ye WAJIB Ke MUQBLE Ka Hai, 
Ise Bar Bar Karna Haram Tak Paohchata Hai, 

🔶Agar Namaz Me Makroohe Tehrimi Paya Gaya To Us Namaz Ka Lautana Wajib Hai...... 

🔷Makroohe Tanzihi, 
Wo Amal Hai Jise Shariat Ne Pasand Nahi Kiya Lekin Karne Par Azab Nahi Lekin Chhod Dena Sawab Hai, 

🔶Ye SUNNATE MOAKKDEAH Ke MUQABLE Me Hai,,,,
Namza Me Ye Baten Makrooh Hai...

🔷Badan Kapde Dadhi Se Khelna, 

🔶Sajde Me jate & Uthte Kapda Sametna, 

🔷AgarChe Dhool Se Bachne Ke Liye Ho Aur Bila Wajah Ho To Aur Ziyadah Makrooh Hai,

🔶Kandhe Par Kapda Is Tarah Dalna Ke Dono Kinare Latakte Hon Ye Sab Makroohe Tehrimi Hai........ 

📚{الفتاوي الهندية، كتاب الصلاة، الباب السابع فيما يفسد الصلاة.... إلخ، جلد-1، صفحه-105}

🔷Aasteen Chadhana Daman Sametna Namaz Se Pehle Kare Ya Namaz Me Makroohe Tehrimi Hai,,,,,,

🔶Pakhana Peshab Ya Riyaah (Hawa) Ne Galba Kiya To Isi Halat Me Namaz Padhna Makroohe Tehrimi Hai,,,,,,

(Pehle In Chizon Se Farig Ho Phir Namaz Padhe)

🔷Agar Beech Namaz Me Ye Halat Hui To namaz Ka Todna Wajib Hai Agar Isi Tarah Namaz Padha To Gunehgar Hua,,,,,, 

📚{ردالمحتار،كتاب الصلاة، باب ما يفسد الصلاة وما يكره فيها، جلد-2، صفحہ-492}

🔷Jooda Bandhna (Mard Ke agar Baal Lambe Ho To Unhe Bandhna) Makroohe Tehrimi Hai, Aurat ke Liye Nahi,,,,, 

🔶Namaz Me Ungliyan Chatkana Ungiyon Ki Qainchi Badhna Eik Hath Ki Ungli Dusre Hath ki ungliyo Me Dalna Bhi Makruhe Tehrimi Hai,,,,,,,

🔷Namaz Me Kamar Pe Hath Rakhna Makroohe Tehrimi Hai,,,,,,,

🔶Idhar Udhar Dekhna Asman Ki Taraf Nigah Karna, 
Kapde Me Is Tarah Lipat Jana ki Hath Bhi Bahar Na Ho, 

🔷Naak & Muh Ko Chupana Bila Zarurat Khansna Makroohe Tehrimi Hai,,,,

🔶Jis Kapde Pe Jandar Ki Tasveer Ho Use Pahen Kar Namaz Padhna Yun Hi Musalle Par Tasveer Hona Ya Namazi Ke Age Piche Dayen Bayen Sajdah Ki Jagah Tasveer Ka hona Ye Sab Makroohe Tehrimi Hai,,,,,,

📚{بهارشریعت، حصہ سوم، صفحه-627}

🔘MAS'ALA:-

🔷Ulta Quran Padhna, 
Rukoo Sajde Me Peeth Sidhi Na karna, 
Yun Hi Qauma & Jalsa Me Sidha Hone Se Pehle Sajde Me Jana, Qayam ke ilawa Kisi Aur Jagah Quran Padhna,
Imam Se Pehle MUQTADI Ka Rukoo Aur Sajd Me jana Aur Sar Uthana Ye Sab makroohe Tenrimi Hai.....

📚{Bahare-E-shariat, Hissa-
3,Page-629}

🔘MAS'ALA:-

🔶Sirf pajama Ya lungi Pahen ke Namaz Padhna kurta aur chadar Maujood Ho To Makroohe Tehrimi Hai,

🔷Agar Dusra kapda nahi To Muaaf Hai,....

📚{Fatawa Hindiya, jild-1, page-106}

🔘Mas'ala:-

🔷Qabze Ki Zameen Par Namaz Padhna, 
Paraye khet jisme Fasal Maujood Ho Aur Jutai kiye huye khet Me Namaz Padhna Yun Hi Qabr Ke Samne Namaz Padhna Makroohe Tehrimi Hai....

📗{Durre Mukhtar, jild-2, page-54}

🔘Mas'ala:-

🔶Kuffar ke Ibadat Khano Me Namaz Padhna Makrooh Hai Balki Wahan To Jana Bhi Mana Hai.....

📗{Raddul Mohtar, jild-2, page-53}

🔘Mas'ala:-

🔷Namaz Me Ungliyon par Ayaton aur Tabihaat ka Ginna Makrooh hai,

🔶Masjid Me apne liye jagah fix karna ki wahi Namaz padhuga makrooh hai....

📕{Fatawa Alamgeeri, jild-1, page-108}

🔘Mas'ala:-

🔷Aam Raasta, kachra Dalne ki jaga, 
Muzbah
 (janwar zabah Hone Ki Jagah, Qabrastan, 
Gusal khana,
Maweshi khana,
Astabal,
Pakhane ki chhat,
Aur jangal Me Bila Sutrah Namaz Padhna Makrooh Hai....

📚{Bahare-e-Shariat, Hissa-3, page-637}

🔘Mas'ala:-

🔶Sanp Wagera Marne ke Liye Agar Usse Taklif Ka Sahi Andesha Ho Ya Koi Janwar Bhag Raha Ho Use Pakad Ne Ke Liye, Ya Bakriyon Par Bhediye Ke Hamle Ka Khauf Ho, 

🔷Yun Hi Apne Ya Paraye Ka 1 Dirham Ka Nuqsan Ho Raha Ho Masalan Doodh Ubal Jayega Ya Gosht Tarkari Ya Roti Jal Jayegi Ya Koi Uchakka Paise Lekar Bhag Raha Ho In Sab Surton Me Namaz Todne Ki ijazat Hai...

📚{Bahare-e-Shariat, Hissa-3, page-637}

🔘Mas'ala:-

🔶Koi Musibat Zadah Pukar Raha Ho, 
Ya Koi Doob Raha Ho Ya Jal jayega Ya Andha Admi Koyen Me Gir Jayega in Sab Surton Me Namaz Ka Todna Wajib Hai Agar Use Bachane Ki TAQAT Hai To...

📗{Durre Mukhtar, jild-2, page-514}

⚫Namaz Ke Makroohat Ko Mazeed Tafseel Se Janne Ke Liye Bahare-e-Shariat Ka Mutala Kare,

Note-

☑Jeb Me Not I card coins etc Wagera Ho To Koi Harj Nahi,,,,,

⚫"Namaz Me Quran Padhne Ka Bayan"⚫


🔘Ahem Masayel Dhiyan Se Padhen.........

✅MAS'ALA:-

🔷Fajr Magrib Aur Isha Ki Pehli 2 Rakaton Me Aur Juma Eidain O Taraveeh & Ramzan Ki Witr Ki Tamam Rakaton Me imam Par Jaher (zor se Quran Padhna) wajib hai,

🔶Zohar Asar Ki 4ron rakaton Me Magrib ki Tisri & Isha ki Tisri & 4thi Rakaton Me imam Pe Ahista Quran Padhna Wajib Hai

📚{Bahar-E-Shariat, Hissa-3, Page-544}

✅MAS'ALA:

🔷JAHER Ke Maana Ye Hai Ki Pehli Saf Wale Sun Sake Aur Ye Adna Darja Hai,, 

🔶Aala Darja Ye Hai Ki Uski Koi Had Muqarrarr Nahi,,, 
Aur Ahista Padhna Ye Ki Khud Sun Sake,,,

🔷Is Tarah Padhna Ki 1 Ya 2 Admi Sunte Hon Ye Ahista Padhna Hua Jaher Nahi...

📚{Durre Mukhtar, jild-2,Safah-308}

✅Mas'ala:

🔶Haajat Se Ziyadah Awaz Tez Karna Jo Apne Aur Dusron Ke Liye Ba'ise Takleef Ho Ye Makrooh Hai...

📚{Raddul Mohtar, Jild-2, Safah-304}

✅Mas'ala:

🔷Din Ki Nawafil Me Ahista Padhna Wajib Hai, 
Raat Ki Nawafil Me Ikhteyar Hai Agar Akela Padh Raha Ho To,,, Agar Jamat Se Raat Me Nafl Padh Raha Ho To Jaher Wajib Hai...

📚{Bahar-e-Shariat, Hissa-3, Page-545}

✅Mas'ala:

🔷Jehri Namazon Me (fajr, magrib, isha) Me Akele Padhne Wale Ko Ikhtiyar Hai (chahe Zor Se padhe Ya Ahista} Aur Behtar Yahi Hai Ki Zor Se Padhe Agar Namaz Apne WAQT Me Padh Raha Ho To, 
Agar Qaza Hai To Ahista Wajib Hai...

📚{Alamgiri, Jild-1, Page-72}

✅Mas'ala:

🔷Agar Sure Fatiha Ke Bad Sure Milana Bhool Gaya Tha Aur Rukoo Me Chala Gaya To Wapas Khada Ho Phir Sure Milaye Phir Rukoo Kare Aur Akheer Me Sajdah Sahu Kare, 

🔶Agar Dobara Rukoo Nahi Kiya Tha To Namaz Hi Nahi Hui....

📚{Bahar-e-Shariat Hissa-3, Page-545}

✅Mas'ala:

🔶Izterari Halat Me Masalan WAQT Jate Rehne Ka Khauf Hai Ya Dushman Ya Chor Ka Dar Hai Aisi Halat Me Safar Ho Ya Hazar (apne maqam par) Agar Wajibaat Chhodne Pade To iski ijazat Hai.....

🔷Masalan Fajr Me Itna WAQT Tang Hai Ki Sirf Eik Ayat Hi Padh Sakta Hai To Eik Hi Padhe,
Magar Suraj Baland Hone Ke Bad Is Namaz Ko Dobara Padhe...

📚{Durre Mukhtar, jild-2, Page-317}

✅Mas'ala:

🔶Sunnate Fajr Padh Raha Tha Aur Jamat Na Milne Ka Dar Ho To Sunnat Namaz Me Sirf Wajibat Pe Hi Amal Kare, 
Sana Auzubillah Bismillah Chhod De Aur Rukoo Sajde Me Sirf 1-1 Hi Tasbeeh Padhe...

📚{Bahar-e-Shariat, Hissa-3, Page-546}

⚫"Jamat Ke Masayel"⚫


🔘Dhiyan Se Padhen.....
Musalman, 
AAQIL (Aql Wala) Baalig (ladki 9 Sal Me Balig Hoti Hai & Ladka 12 Sal Me), Hurr (Azad) Qadir 
(jisme Jamat Me Shamil Hone Ki Qudrat Ho) Par Jamat Wajib Hai.....

🔘JAMAT Bila Wajah 1 Bar Bhi Chhodne Wala Gunehgar Aur Musta'hiq Saza Ka Hai....

🔘Aur Kai Bar Tark Karne Wala FASIQ Mardudush ShaHadah (Yani wo kisi Mamle Me Gawahi De To Uski Gawahi Maani Nahi Jayegi) Hai Aur Use Sakht Saza Dee Jaye..

🔘Agar Uske Parosiyon Ne Sukoot Kiya 
(khamosh Rahe To Wo Bhi Gunehgar Hain......

📚{Bahar-e-Shariat, Hissa-3, Page-582}

✅Mas'ala:

🔷In Surton Me Jamat Chhdone Ki Ijazat Hai,,,

📌Bimar Jise Masjid Tak Jane Me Mushaqqat Ho,

📌Apahij, 
Jiska Paon Kat Gaya Ho, 
Jis Pe Falij Gira Ho,

📌Itna Budha Ki Masjid Tak Nahi Ja Sakta, 

📌Andha Agarche Andhe Ko Koi Masjid Tak Le Jane Wala Ho, 

📌Sakht Barish Shadeed Kichad Sakht Sardi Sakht Andhera Aur Aandhi Tufan, Maal Ya Khana Talf (zaya) Hone Ka Andesha, 

📌Qarz Khah (jinse Qarz Liya Ho unke milne ka Dar) Ke Milne Ka Khaof Aur Ye Tang Dast Ho 
(Dene Ki Halat Me Na Ho) ,

📌Zalim Ka Khaof Pakhana Peshab Ka Galba Riyaah (Hawa nikalna) ki shadeed Hajat, 

📌Khana Hazir Hai Aur Sachchi Bhook Lagi Ho, Qafla Chale Jane Ka Andesha (isi Tarah Train Bus Jahaz ki Chhootne Ka Andesha) Mareez Ka Timadar Agar Jamat Me Shamil Hua To Mariz Ko Taklif Hogi... 

📌Ye Sab Jamat Tark Karne Ke Uzr Hain......

📚{Bahar-e-Shariat, Hissa-3, Page-584}

✅Mas'ala:

🔶2 Logon Me Jamat Hui To muqtadi Agarche Ladka Ho wo imam Ki Dayhni Janib (sidhe Hath Ki Taraf) Khada Ho, 

🔷Bayen Taraf Ya Piche Khada Hona Makrooh Hai... agar 2 Ya Usse Ziyadah Ho To imam Ke Piche Khade Hon

📚{Durre Mukhtar, Jild-2, Page-270}

✅Mas'ala:

🔷2 Logo Me Jamat Hui 1 imam Ki Sidhe Taraf Khada Tha Ab Koi Aur Aaya To imam Aage Badh Jaye Ya Ye MUQTADI Piche Hat Jaye.....

🔶Ya Aane Wala Use Piche Khich Le Ye Sab Surten Jayez Hain....

📚{Raddul Mohatar, Jild-2, Page-370}

✅Mas'ala:

🔷Pehli Saf Me Jagah Khali Thi Aur Piche Ki Saf Bhar Gai To Saf Ko Cheer Kar Jaye Aur Pehli Saf Ko Pura Kare....

🔶Hadees Me Hai Jo Saf Ki Kushadgi (space) Ko Bhare Uski Magfirat Ho Jayegi..

📚{Fatawa Hindiyah, Jild-1, Page-89}

✅Mas'ala:

🔷Muqtadi Ne Tamam Rakaton Me imam Se Pehle Rukoo Sajdah Kiya To Imam Ke Salam Pherne Ke Bad 1 rakat Bagair Qirat Ki Padhe....

📚{Fatawa Hindiya, Jild-2, Page-90}

⚫"JAMAT SE NAMAZ PADHNE KI FAZILAT"⚫


🔘Tajdare Madina Huzoor PurNoor Janabe Mohammadur Rasulullah Sallahu'alaihi'wasallam Ke Farameene Aqdasah.....

✅HADEES:

🔷Jamat Se Namaz Padhna Akele Padhne Se 27 Darja Afzal Hai...

📕{Sahi Bukhari, kitabul Azan, jild-1, page-232, Hadees No-645}

✅HADEES:

🔶Jisne Kaamil Wazu Kiya (pura & Achcha) aur imam ke sath namaz Padhi Uske Gunah Bakhsh Diye Jayenge...

📚{Sahi ibne Khuzaimah, Hadees No-1479}

✅HADEES:

🔷Kisi Gaon Ya Jangal Me 3 Log Hon Aur Namaz Jamat Se Na Padhi To unpe Shaitan Musallat Ho Jata Hai, 
jamat ko lazim Jano Bhediya Usi Bakri Ko Khata Hai Jo Rewad Se Alag Ho...

📚{Sunane Nisai, Hadees No-844}

✅HADEES:

🔶Eik Sahabi Abdullah Bin umme Maktoom Ne Arz kee Ya Rasulullah Madine Me Muzi Janwar (taklif Dene Wale) Bahot Hain, aur Mai Ankhon Ka Andha Hun To Kya Mai Ghar Pe Hi Namaz Padha Karu?????

🔷Sarkar Ne irshad Farmaya,
Haiyya Las' salah & Haiyya Lal Falah Sunte Ho????
Arz Kee, 
Haan,
Farmaya Phir Hazir Ho...

📚{Sunane Nisai, kitabul imamah, Hadees No-878}

🔶Mamuli See Baat Ya Uzr Ki Bina Par Masjid Me Jane & jamat Se Mehroom Hone Wale Hazraat Ibrat Hasil Kare,

✅HADEES:

🔷Jise Ye Achcha Maloom Ho Ki Kal Allah Se islam ki Halat Me Mile (musalmam ho kar mile), Use Chahiye Ki 5wo Namazo Ki Muhafizat Kare...

(Namaze Panjagana Ko Ba-jamat Padhe)

📚{Sahi Muslim, Hadees No-257}

✅HADEES:

🔶Agar Jamat Chhodne Wala Janta Ki Jamat Me Kya Fazilat Hai To Ghutno Ke Bal Hazir Hota...

📚{Al mojamul kabeer, Hadees-7886}

✅HADEES:

🔶Jo Allah Ke Liye 40 Din Ba-jamat Namaz Padhe (5wo waqt ki) is Tarah Ki Takbire Oola (imam ki pehli Takbeer) Na Chhute uski Liye 2 Bar'aten (azadiyan) Hain.
1-Naar Se (Dozakh Se)
2-NIFAQ Se (munafiq Hone Se)

📚{jame Tirmizi, Hadees No-241}

✅HADEES:

🔷Allah Uske Farishte Pehli Saf Walo Par Durood (rehmat) Bhejte Hain, logon Ne Pucha Ya Rasulullah Dusri Saf Walon Par????
Phir Farmaya Allah Aur Uske Farishte Pehli Saf Walo Par Durood Bhejte Hain, logon Ne Pucha Ya Rasulullah Dusri Par???

🔷Aapne Farmaya Phir Dusri Par Bhi, aur Farmaya, Safon Ko Barababar Karo Kandhon Ko Milao apne Bhaiyon Ke Liye Narm Raho, aur Kushadgi (space) Ko Band Karo Q Ki Shaitan Tumhare Beech Bhed Ke Bachche Ki Tarah Ghus Jata Hai

📚{Musnade imam Ahmad Bin Hambal, Hadees No-22326}

🔶Namaz Ba-jamat Padhne Ki Hadiso Me Badi Fazilat Aai Hai, Aur Ise Tark Karne Par Sakht Se Sakht WaEiden irshad Hui...... 

🔷Afsos Sad Afsos Aaj Hamari Aksariyat Ne Masjidon Me Jana Chhod Diya, 

🔶Na Hi Apni Qaza Namazo Ko Khayal Hai... 
islam Aur sunniyat Ke Zabani Dawon ka Hamare Ye Haal Hai ki Hum Se Bada Sunni Shayed Hi Dunya Me Koi Ho.....

🔷Aur Haal Ye Hai Ki Apne Pyare Rasool Ke Farman Se Muj Mode Huye Hain aur unhi ki Shafa'at Par Nazaan Hain jinke Ye Irshad Hai,,, Aur kuch To Jangli peereo Faqiron Mujawaron Ne Logo Ko Be-bak kiya....

🔶Allah ke Bando Hamare Pyare Nabi ka Hi Farman Hai Islam Me Uska Koi Hissa Nahi Jisne Namaz Chhod Dee......

🔷Namaz Padho Apne Ghar Walo Ko Padhwao Apne Bachcho Pe Sakhti Karo Ahlesunnat Ki Masjidon Ko Apne Sajdon Se Aabad Karo Aur Suchche Pakke Sunni Jannati Bano........

⚫"Qaza Namazo Ka Bayan"⚫

🔘Jis Kaam Ka Bandon Ko Hukm Diya Gaya use WAQT Me Karna Ada kehlata Hai Aur WAQT Ke Bad Karna Qaza Hai, 

🔘Ada To WAQT Me Hi Kiya Magar Koi Kharabi Hui Us Kharabi Ko Sahi Karna Ei'Aadah Kehlata Hai......

✅Mas'ala:

🔷Bila Uzre Sharie Namaz Qaza Karna Bahot Sakht Gunah Hai... 

🔶Us Par Farz Hai Ki Uski Qaza Padhe, 
Aur Sachche Dil Se Taubah Kare, 
Taubah Se Der Karne Ka Gunah Muaaf Ho Jayega...
🔷Aur Sirf Taubah Hi Se Baat Nahi Banne Ki Balki Use ada Kare Aur Jo Der Hui Uski Taubah Kare, 
Sirf Taubah Hi Kare Aur Namaz Qaza Na Padhe To Gunehgar Ab Bhi Hai...

📚{Bahare-E-Shariat, Hissa-4, Page-700}

✅Mas'ala:

🔷AKHEER WAQT Me Namaz Ki Niyyat Bandh Lee Phir WAQT KHATM Hua To Ye Namaz Ada hai Qaza Nahi,

🔶Magar Fajr Edain Juma Ki Namazo Me Agar Salam Se Pehle WAQT Nikal Gaya To Namaz Nahi Hui.. 
Dobara Padhni Hogi..

📗{Durre Mukhtar, Jild-2,page-627}

✅Mas'ala:

🔶Koi So Raha Hai Ya Namaz Padhna Bhool Gaya To Jise Maloom Ho Uspe Sote Ko Jagana Ya Bhule Ko Yaad Dilana Wajib Hai...

📗{RADDUL MOHTAR, Jild-2,Page-33}

✅Mas'ala:

🔷Qaza Namazo Ke Liye Koi WAQT Moayyan (fix) Nahi Umr Me Jab Bhi Padega Uske Zimme Se Ada Ho Jayegi,
Magar Suraj Nikalte Dubte Aur Zawal Ke WAQT Na padhe...

📕{Alamgiri, jild-1,page-121}

✅Mas'ala:

🔶Aisa Mareez Ki ishare Se Bhi Namaz Nahi Padh Sakta Agar Ye Halat 6 Namazo Tak Rahi To un Chhuti Hui Namazo ki uspe Qaza nahi...

📕{Alamgiri, Jild-1,page-121}

✅Mas'ala:

🔷Jo Namaze Jaisi Chuti Waisi hi Qaza Padhe....
Masalan Safar Me Namaz Qaza Hui 4 rakat wali ab Qaza 2 Hi Padhe Agarche Apne maqam par padhta ho,,,

🔶Agar AQAMAT (Apne maqam par) Me Namaz Chuti To Safar Me Jab Qaza Padhega To Puri 4 padhe...

📕{Alamgiri, Jild-1,page-121}

✅Mas'ala:

🔶Jiski Kai Kai Namaze Chuti Ho Wo Padhte WAQT Tarteeb ka khayal rakhe Yani jo namaz pehle hai use pehle padhe jaise fajr phir zohar & asar phir Magrib & isha phir witr...

🔷Ya 2 Ya 3 hi waqt ki namaz chuti ho Tab Bhi jo namaz pehle Hai use pehle padhe jaise magrib pehle isha Bad Me...

📕{Alamgiri, jild-1,page-121}

✅Mas'ala:

🔶Jiski isha Qaza Hui Wo Fajr Me Pehle isha padhe phir Fajr Agar khayal kiya ki waqt tang hai is liye pehle fajr padhu aur fajr padha magar waqte fajar Ab Bhi BAQI Hai To uski Fajr Ki Namaz Na Hui..

🔷Ab agar 2 Namazo Ki Gunjaish Hai To pehle isha padhe Phir Fajr,,, agar 1 ki hi hai To fajar phir padhe

📕{Alamgiri, jild-1,page-122}

✅Mas'ala:

🔷Juma ke Din Fajr Qaza Hui To pehle fajr Padhe Phir Juma Padhe Agarche Juma Ka KHUTBA Hota Ho...

📕{Alamgiri, jild-1,page-122}

✅Mas'ala:

🔷Kis Shakhs Ki 1 namaz Qaza hui Magar Nahi janta ki kaunsi Thi... 
To use 1 Din Ki sab namaze (5 waqt ki) Padhni Hai,,,

🔶Aur 2 din ki 2 namaze Qaza hui magar yad nahi kaun kaunsi thi To 2 din ki puri 5-5 Namaze Extra Padhen...

📕{Alamgiri, jild-1,page-707}

🔘"Qaza Namzen Padhne Ka Tariqa"🔘


✅MAS'ALA:

🔷Jiske Zimmah Qarz Namazen Hon Agarche Unka Padhna Jald Se Jald Wajib Hai Magar Baal Bachchon Ke HUQOOQ Aur Apni Zaruriyaat Ki Wajah Se Takheer (Der) Kar Sakta Hai,

🔶Lihaza Karobar Bhi Kare Aur Jo WAQT Fursat Ka Mile Usme Qaza Bhi Padhta Rahe Yahan Tak Ki Sab Puri Ho Jaye....

📚{Qanoon-E-Shariat, Hissa-1,Page-153}

✅Mas'ala:

🔷Jis WAQT NAFIL Padhta Ho Unhe Chhod Kar Unke Badle Qaza Namaze Padhe, Albatta Taraveeh & 12 Rakat sunnate Moakkedah Na Chute......

📚{Raddul Mohtar, Jild-2, page-646}

✅Mas'ala:

🔶Jiski Kuch Salo Ya Kai Salon Ki Namaze Qaza Hui Wo Is Tarah Kare.......

🔷Masalan 50 Saal Ka hai, Aur namaz ki Pabandi 5 Saal Se Kar Raha Hai, To is tarah hisab jode,Ki Balig 15 Saal Me Hua To 15 Se 45 Tak Yani 30 Saal Ki Namze Qaza Hui, 

🔶AB 30 Saal Ki Qaza 5wo WAQT Ki Is Tarah Padhe.........

🔷Padhte WAQT YE Niyat kare Sab se pehle Jo Fajr Meri Qaza Hui Wo Padhta Hun, uske Bad Aur Fajr Ki Hi Qaza Padhe To Kahe Uske Bad Ki Ada Karta Hun Phir uske bad ki.....

🔶Isi tarah Zohar Asar Magrib & Isha Me Niyyat Kare Sab Se Pehli Jo Qaza Hui Phir Uske Bad Ki Phir Uske Bad Ki....

🔷Aur jise Ye Bhi Yad Na Ho Ki Kitne Saal Ki Qaza Hui To Wo Bhi Padhte WAQT Ye Niyyat Kare Ki Sab Se phel Jo Fajr Qaza Sab Se Pehle Jo Zohar Qaza Hui 5 namazo ka naam le kar Phir Uske Bad Ki Fajar Phir Uske Bad Ki Zohar Phir uske Bad Ki Asar, isi Tarah padhta Rahe Yahan Tak Use Yaqeen Ho Jaye Ki Mere zimma Ab Koi Qaza Baqi Nahi.....

{Makhooz Az, KUTBE FIQHE HANAFI}

✅Mas'ala:

🔶Mard Ho Ya Aurat 15 Saal Me Balig Hote Hain unpe Namaz Roza Wagera Farz Ho Jata Hai.........

🔷Aurat Kam Se Kam 9 Baras Me & Maximum 15 Years Balig Ho Jati Hai.........

🔶Aur Mard Kam Se Kam 12 Saal Me & Ziyadah Se Ziyadah 15 years Me Balig Ho Jata Hai...

🔷15 Baras Wale Ko chahe Mard Ho Ya Aurat Shariat Me Balig Mana Jata Hai Chahe Balig Hone Ki Nashiniyan Pai Jaye Ya Na Pai Jaye

📚{Qanoon-E-Shariat, Hissa-1, Page-154}

⚫Qur'an :-

 حافظوا على الصلوت والصلوة الوسطى وقوموا لله قانتين

📓(Paara-2,Ruku-15)

🔵Tarjuma: - 

🔶Nigehbaani karo sab Namazo ki aur Beech ki Namaz ki. 
Aur Khade ho Allah ke Huzoor Adab se.


🔷Is Aayat e Kareema se Namazo ki Farziyat Maalum hui aur uske Andar Qayaam ka Farz hona bhi Saabit huwa.

⚫Qur'an: - 

فسبحن الله حين تمسون و حين تصبحون وله الحمد فى السموت والارض وعشياً وحين تظهرون

📓(Paara-21,Ruku-5)

🔵Tarjuma :- 

🔶To Allah ki Paaki Bayaan karo jab Shaam ho aur Subah ho. 
Aur usi Ki Tareef he Aasmaano aur Zameen mey Aur kuch din rahe aur Jab Zohar Ka Waqt ho.

🔷Is Aayat-e-Kareema mey paancho(5) Namazo ke Awqaat Bayaan kiye gaye hey Chunanche Hazrat-e-Ibne Abbas RadiyAllahu Ta'ala anho se Daryaaft kiya gaya k kya Namaz-e-Panjgaana ka Bayan Qur'an paak mey he ? Farmaya haa, aur ye Aayatey Tilawat Farmaayi.


⚫Qur'an :- 

ان الصلوة تنهى عن الفحشاء والمنكر

📓(Paara-21,Ruku-1)

🔵Tarjuma:- 

🔶Beshak Namaz Be-hayaai aur buri baat se Rokti he.

🔷Is Aayat-e-Kareema se Maalum huwa k Jo Shakhs Khuloos ke Saath Namaz ka Paband Ho aur Usko Achi Tarah adaa kare to wo ek na ek din Un Tamaam Buraaiyo k Tark kar dega jin mey Wo Mubtala he. Hazrat e Anas Radiy Allahu Ta'aala anho se Marwi he k Ek Ansari Huzoor SallAllahu Alaihe wa Sallam ke Sath Namaz padha karta tha aur Bahut se Kabeera Gunaho ka Irtekaab Karta tha Huzoor SallAllahu Alaihe wa Sallam se Us ki Shikayat ki gayi. Farmaya us ki Namaz kisi Roz us ko in baato se Rok degi Chunanche Bahut hi Qareeb Zamaana mey us ne Tauba ki aur Us ka Haal behtar ho gaya. Hazrat e Hasan RadiyAllahu Anho ne Farmaya jis ki Namaz usko Be-hayaai aur Mamnoo'aat se na Roke wo Namaz hi nahi.

⚫Qur'an - 

اقيموا الصلوة ولا تكونوا من المشركين

📓(Paara-21,Ruku-7)

🔵Tarjuma :- 

🔶Namaz Qaaim rakho Aur Mushriko mey se na ho.

🔷Maalum huwa k Namaz na padhna Mushriko ki Alaamat he. 
Lihaaza is se Gaflat baratne Wale Musalman Is Aayat-e-Kareema se Hidayat Haasil kare.

🔘Allah Hum Sab Momin Musalman ko 5 Waqt ki Namaz Ba Jama'at Padhne Ki Twafiq Ata Farmae....


AMEEN